Nadeem Sarwar | Yeh Janaza Hai Ali Ka | 2012

 

Haay ali maula haay ali maula
Ye janaza hai ali ka

Ye janaza hai ali ka shaahe khaibargeer ka
Ye janaza hai ali ka
Aaj baba mar gaya hai shabbar o shabbir ka
Ye janaza hai ali ka

Fatema zehra ke marqad se sadaa aane lagi
Haay sada aane lagi
Ye masaaeb reh gaya tha kya meri taqdeer ka
Ye janaza hai ali ka

Ya rasulallah ye jibreel ne ro kar kaha
Haay ye ro kar kaha
Ek halqa aur tuta noor ki zanjeer ka
Ye janaza hai ali ka

Kyun chalaayi tegh haidar par bine muljim bataa
Ay bine muljim bataa
Qatl quraan kar diya qaata galaa tafseer ka
Ye janaza hai ali ka

Gham ali ki betiyon ke phir se taaza ho gaye
Haay taaza ho gaye
Gham abhi bhuli kahaan thi maadare dilgeer ka
Ye janaza hai ali ka

Nazr me jaane ali ko kya khayaal aata raha
Haay khayal aata raha
Mun kabhi zainab ka dekha aur kabhi shabbir ka
Ye janaza hai ali ka

Betiyon ko dekhte hain aur rote hain ali
Haay rote hain ali
Haay wo zaalim tasawwur shaam ki tashheer ka
Ye janaza hai ali ka

Chote se abbas bhi rote hain sar ko peet kar
Haay sar ko peet kar
Bachpana abbas ka aur zakhm dil par teer ka
Ye janaza hai ali ka

Baap ki mayyat se zainab ka lipat na baar baar
Haay lipat na baar baar
Dil hila deta tha rona shah ki hamsheer ka
Ye janaza hai ali ka

Aaj baba mar gaya hai shabbar o shabbir ka
Ye janaza hai ali ka
Ye janaza hai ali ka shaahe khaibargeer ka
Ye janaza hai ali ka

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *