Nadeem Sarwar | Ya Haider | 2016

 

Haider Maula

Haider Maula, Haider Maula
Ali maula,Haider Maula a.s
Haider Maula a.s

Haiderium, Qalandram Mastam,
Banda e Murtaza Ali Hastam,
Peshwa e tamam Rindanam,
Ke Sag e Koo e Sher e Yazdanam!

Mast e Wila E Haideram
Dam Hama dam Ya Ali
do jahan zay dil bharam
Dam hama dam Ya Ali

Haider Haider Ya Maula

Jb Haq se karoge Pyar to Kehna Parta Hai
Dil Ishq me ho Sarshaar to kehna Parta hai
Haider Haider Ya Maula

Noorullah, Waliullah, Asadullah, Aeinullah ,
Ayatullahil uzma janam

Haider Haider Ya Maula
Haider Maula,Haider Maula

Dooba Jo Ali k jalwon me Ik Ajab nazara Dekha hay
Hubdaar Ali kay bethey hain
Har lab pe Ali ka naara hay
Miqdad Abuzar jhoomte hain
Salman qaside parhta hai
Sab jaam wila k peete hain Aur Saqi e Kausar Maula hai
Ho Aisa Sakhi darbaar to Kehna Parhta hai
Dil Ishq me Ho Sarshaar to Kehna parhta hai
Haider Haider ya Maula

Jb Haq se karoge Pyar to Kehna Parta Hai
Dil Ishq me Ho Sarshaar to kehna Parta hai

Noorullah, Waliullah, Asadullah, Aeinullah
Ayatullahil uzma janam

Haider Haider Ya Maula
Haider Maula, Haider Maula

Yeh Saare Nazare Ishq k hain
Majlis Matam Sab Ishq e Ali
Yeh Nauha khuwan ye Shaal e Aza, Hathon me Alam sab Ishq e Ali
Zawar e Shah e Karbobala
ye Jaah o Hasham Sab Ishq e Ali
Hamrah Namaz k Farsh e Aza
Mazloom ka gham Sab Ishq e Ali
Ho Laskar e Gham Taiyar To Kehna Parhta hai
Dil Ishq me Ho Sarshaar to Kehna parhta hai,
Haider Haider ya Maula

Jb Haq se karoge Pyar to Kehna Parta Hai
Dil Ishq me Ho Sarshaar to kehna Parta hai

Noorullah, Waliullah, Asadullah, Aeinullah
Ayatullahil uzma janam
Haider Haider Ya Maula

Mast e Wila E Haideram,
Dam Hama dam Ya Ali
do jahan zay dil bharam,
Dam hama dam Ya Ali

Haider Haider Ya Maula,
Haider Maula, Haider Maula

Na Chher Malangan e Haider
Inhe Inke Haal pe rehne de
Inhe Dar pe Ali k jeene De
Inhe Maula Maula Karne de
Har Su Hai Maula Jalwagar
Inka Deedar To karne de
Mahoul hai sara Noorani
Is noor ko aur Nikharne de
Jab Aisi ho Sarkaar To Kehna Parta hai
Dil Ishq me Ho Sarshaar to Kehna parhta hai
Haider Haider ya Maula

Jb Haq se karoge Pyar to Kehna Parta Hai
Dil Ishq me Ho Sarshaar to kehna Parta hai

Noorullah, Waliullah, Asadullah, Aeinullah
Ayatullahil uzma janam
Haider Haider Ya Maula,

Mast e Wila E Haideram
Dam Hama dam Ya Ali
do jahan zay dil bharam,
Dam hama dam Ya Ali

Haider Haider Ya Maula
Haider Maula, Haider Maula

Mera Tan Man Dhan
Mera Zouq e Sukhan
Mera Jan jawani, Ya Haider
Mere Dil me Sada Jag mag jag mag
Mere Rab ki Nishani, Ya Haider
Mere Dam me hai Dam Dam Gonj Rahi
Awaz E Qurani, Ya Haider
Han Mere Badan me Bol Rahi
Mere Khoon ki Rawani, Ya Haider
Ho Itna Haseen Kirdaar To Kehna Parta hai
Dil Ishq me Ho Sarshaar to Kehna parhta hai
Haider Haider ya Maula

Jb Haq se karoge Pyar to Kehna Parta Hai
Dil Ishq me Ho Sarshaar to kehna Parta hai

Haider Haider Ya Maula
Ali Moula, Ali Ya

Sardar Mere Aaqa Mere
Aey Hadi o Rehbar Ya Maula ,
Aey Shams e Wilayat Meher e wafa
Aey Saqi e Kausar Ya Maula
Meri Saj dhaj Har Singhar ye Dil
Mere Rooh ka Zewar Ya Maula,
Meri Deed Nazara Noor e Nazar
Manzar pas e Manzar Ya Maula,
Mera Khuwab o Khyal o wird wazeefa Soch Ka Mehwar Ya Maula
Hai Wird e Zuban Maula Maula
Meri Rooh Qalandar Ya Maula

Haider Maula, Haider Maula

Roohullah, Uznullah, Babullah, Saifullah Ayatullah ,Wajhullah,

Ahmed ka Baradar, Haider Maula
Imran Ka Dilbar, Haider Maula
Zehra Ka Shohar, Haider Maula
Allah Ka Lashkar, Haider Maula
Kaabe ka Naya dar, Haider Maula
Nabiyon ka yawar, Haider Maula
Maula e Qamber, Haider Maula
Salman Ka Rehbar, Haider Maula
Aqa e Abuzar, Haider Maula
Kahe Malik e Ashtar, Haider Maula
Hum Tere Sanagar, Haider Maula
Hum Tere Naukar, Haider Maula
Kahe Saat Samandar, Haider Maula
Kahe Laal Qalandar, Haider Maula
Dam Mast Qalandar, Haider Maula

Zindagi Di Hai to Jeene ka Hunar bhi Dede
Paon Bakhshey hain to Tu Toufeeq Safar bhi Dede
Jis Pe Chalte Rahe Salman o Abuzar Qambar
Mere Maula Mujhe wo Raah Guzar Bhi Dede

Haider Maula,Haider Maula

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *