Nadeem Sarwar | Karbala Mashallah | 2017 / 1439

 

zinda jahan may taaba qayamat hai karbala
saadat e karbala ki amanat hai karbala
dunya ke har ghareeb ki izzat hai karbala
jiye shah hussain jiye shah hussain

jannat e maa karbala, rooh e aza karbala
noor e khuda karbala, baab e dua karbala
khaak e shifa karbala, gham ki dawa karbala
jannat e maa karbala

karbobala khoon e mohamad se saji hai
karbobala ishq e hussain ibn e ali hai
teri zameen mo’alla
karbala karbala mashallah
tu rahegi sada inshallah
mashallah mashallah karbala

aao chale karbala, banke safeer e aza
sar pe ho parcham khula, ishq e aza saath rahe
ashko ki barsaat rahe, haathon may bas haath rahe
teri zameen mo’alla
nainawa nainawa mashallah
tu rahegi sada inshallah
mashallah mashallah karbala
jiye shah hussain, jiye shah hussain

karbobala khaak thi, khaak ko izzat mili
khaak e shifa bangayi, aaye hussain ibne ali
surat e gulzaar saji, ghazi ki jageer bani
teri zameen mo’alla
marhaba marhaba mashallah
tu rahegi sada inshallah
mashallah mashallah karbala
jiye shah hussain, jiye shah hussain

hum tere zawwar hai, tere azadaar hai
khadim e darbar hai, nara e labbaik mera
matam e shahe shohada, lo mai chala karbobala
teri zameen mo’alla
shukriya shukriya mashallah
tu rahegi sada inshallah
mashallah mashallah karbala
jiye shah hussain, jiye shah hussain
jiye shah, jiye shah

meri dawa karbala, meri shifa karbala
meri baqa karbala, daulat e maa karbobala
quwwat e maa karbobala, izzat e maa karbobala
teri zameen mo’alla
rehnuma rehnuma mashallah
tu rahegi sada inshallah
mashallah mashallah karbala
jiye shah hussain, jiye shah hussain
jiye shah, jiye shah

ay shahe karbobala, koi nahi aap sa
ek hai bas karbala, sarwar o rehan chalo
leke ye armaan chalo, nazr kare jaan chalo
teri zameen mo’alla
jaaneman jaaneman mashallah
tu rahegi sada inshallah
mashallah mashallah karbala
zindabad karbala, zindabad ya hussain
jiye shah, jiye shah

beshak ali ke laal ki mehnat hai karbala
zehra ke khandaan ki daulat hai karbala
jo bhi yahan hussain ka zawwar ban gaya
hurr bangaya koi, koi mukhtaar ban gaya
karbobala sayeban, karbobala paasban, karbobala noor e jahan
saari zameeno ki maa, ishq o mohabbat ka nishan
farsh pe hai arsh jahan, jannat e arzi ka samaa
deen panaah, sajda gaah, madresa, darsgaah, hal yazah, hal ata
tu hai dayaar e hussain, mashallah mashallah
tu dil e zahra ka chain, mashallah mashallah
rooh e dil e mashraqain, mashallah mashallah
tere liye har dua, inshallah inshallah
tere liye har sada, inshallah inshallah
jaari rahegi sada, inshallah inshallah

karbala karabala, karbala karabala
hai hamari darsgaah, karbala karabala
haq ka seedha raasta, karbala karabala
ibadaton ka raabta, karbala karabala
har ek hurr ki raahnuma, karbala karabala
hussainiyat ka madrassa, karbala karabala
baqa e harf e laa ilaah, karbala karabala
hussain jiska baadshah, karbala karabala

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *