Sar sue rouza jhuka phir tujhko Kya | Muhammad Owais Raza Qadir | 2017

 

Sar sooye Rauza jhukaa phir tujh ko kya
Dil tha saajid najdiyaa phir tujh ko kya

Baithte uthte madad key waaste
Yaa Rasoolallah kahaa phir tujh ko kya

Ya gharaz sey chat key mahz zikr ko
Naam e paak un ka japaa phir tujh ko kya

Be khudi mein sajdah e dar yaa tawaaf
Jo kiya acha kiya phir tujh ko kya

Un ko tamleek Malik ulmulk sey
Maalik e ‘aalam kahaa phir tujh ko kya

Un key naam e paak par dil jaan o maal
Najdiyaa sab taj diyaa phir tujh ko kya

Yaa’ibaadikeh key ham ko shaah ney
Apnaa bandah kar liya phir tujh ko kya

Dev key bandon sey kab hay yeh khitaab
Tu nah un kaa hay nah thaa phir tujh ko kya

Laa ya’oodoon aage hoga bhi nahin
Tu alag hay daaima phir tujh ko kya

Dasht e gird o pesh e Taibah ka adab
Makkah saa thaa yaa siwaa phir tujh ko kya

Najdi marta hay keh kyun ta’zeem ki
Yeh hamara Deen thaa phir tujh ko kya

Dev tujh sey khush hay phir ham kya karein
Ham sey raazi hay Khuda phir tujh ko kya

Dev key bandon sey ham ko kya gharaz
Ham hain ‘abd e Mustafa phir tujh ko kya

Teri dozakh sey to kuch cheena nahin
Khuld mein pohonchaa Raza phir tujh ko kya

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *