Noori Mehfil Pe Chadar Tani Noor Ki,
Noor Phela Huwa Aaj Ki Raat Hai.
Chandni Mein Hain Doobe Huwe Do Jahan,
Kon Jalwa Numa Aaj Ki Raat Hai.
Farsh Per Dhoom Hai, Arsh Per Dhoom Hai
Badnasibi Hai Uski Jo Mehroom Hai,
Phir Milegi Yeh Shab Kisko Maloom Hai
Aam Lutfe Khuda Aaj Ki Raat Hai.
Abre Rehmat Hai Mehfil Pe Chaye Huwey
Aasman Say Malaaik Hain Aaye Huwey
Khud Muhammad Hain Tashreef Laye Huwey
Kis Kadar Jaan Fiza Aaj Ki Raat Hai.
Khoob Hone Do Ashkoon Ki Barsaat Ko
Do Salami Muhammad Ki Baarat Ko
Choom Lo Chum Lo Aaj Ki Raat Ko
Shab Qadar Ke Gumaan Aaj Ki Raat Hai.
Manglo Mang Lo Chashme Tar Mang Lo
Dard E Dil Aur Husn E Nazar Manglo
Kamli Wale Ki Nagri Mein Ghar Manglo
Maangne Ka Maza Aaj Ki Raat Hai.
Momeeno Aaj Ganj E Sakha Lut Lo
Lutlo Ae Marizo Shifa Loot Lo
Aasiyo Rehmat E Mustafa Loot Lo
Baabe Rehmat Khula Aaj Ki Raat Hai.
Waqt Laaye Khuda Sab Madine Chalein
Lutne Rehmato Ke Khazine Chalein
Sab Ki Manzil Ki Janib Safine Chalein
Meri Sa’aim Dua Aaj Ki Raat Hai.
Noori Mehfil Pe Chadar Tani Noor Ki,
Noor Phela Huwa Aaj Ki Raat Hai.
Chandni Mein Hain Doobe Huwey Do Jahan,
Kon Jalwa Numa Aaj Ki Raat Hai.
Comment