Meraj nabi subhanallah, Meraj nabi Subhan Allah
Mere Muhammad pyare bane hain dulha, dulha
Mere Muhammad bane hain dulha.
Mere Muhammad pyare bane hain dulha, dulha
Mere Muhammad bane hain dulha.
Woh sarwar e kishwar e risalat jo arsh per jalwah gar huye thay
Naye nirale tarab kay saaman Arab ke mehman kay liye thay.
Mere Muhammad bane hain dulha…
Bahar hai shadiyan mubarak chaman ko aabadiyan mubarak
Malak falak apni apni lay main yeh ghur ana dil ka boltay thay.
Wahan falak per yahan zameen main rachi thi shaadi machi thi dhoomein
Udhar say anwar hastay aatay idhar say anwaar ooth rahay they.
Mere Muhammad bane hain dulha…
Khushi kay badal umand kay aaye diloon kay taoos rang laye
Woh naghma e naat ka samaan tha Haram ko khud wajd aa rahe thay.
Yeh jhooma Mizab e zar ka jhoomer kay aa raha kaan per dhalak ker
Phuhar barsi to moti jhar ker Hatim ki gaud mein bharay they.
Ghubar ban ker nisaar jayein kahan ab uss rah guzar ko payein
Hamaray dil huriyoon ki aankhein farishtoon kay per jahan biche thay.
Mere Muhammad bane hain dulha…
Utar ker unkay rukh ka sadqa yeh noor ka but raha tha bada
Kay chand suraj machal machal ker jabeen ki khairat mangtay thay.
Wohi to ab tak chalak raha hai wohi to joban tapak raha hai
Nahanay may jo gira tha pani katoray taroon nay bhar liye thay.
Bacha jo talwoon ka unkay dhouwan bana woh Jannat ka rang o roghan
Jinhoon nay dulha ki payi utran woh phool gulzar e noor kay thay.
Mere Muhammad bane hain dulha…
Buraq kay naqsh o sum kay sadqe woh gul khilaye kay saray rastey
Mehaktay gulban lehakte gulshan hare bhare lahlaha rahe thay.
Namaz e Aqsa main tha yehi seer ayan houn ma’ani awwal akhir
Key dast basta hain pichey hazir jo salatanat aagay kar gaye thay.
Yeh unki aamad ka dabdaba tha nikhar her shaiy ka ho raha tha
Nujoom o aflak jam o mina ujaltay thay khangaltey they.
Mere Muhammad banay hain dulha…
Yehi sam’an tha kay paikay rehmat khabar yeh laya kay chaliye Hazrat
Tumhari khatir kushada hain woh jo kalim per band rastaay thay.
Badh aie Muhammad [ Sallallahu ‘Alayhi Wasallam ] qareen ho Ahmed [ Sallallahou Alayhi Wasallam ]
qareeb aa sarwar e mamajad
Nisar jaoon yeh kiya nida thi yeh kiya samaan tha yeh kiya mazay thay.
Tabarakallah yeh shan teri tujhi ko zaiba hai bay niyazi
Kahin to woh josh e lan-tarani kaheen takazay visal kay thay.
Meray Muhammad banay hain dulha…
Hijab uhnay mein lakhoon parde har aik parday main lakhon jalway
Ajab ghari thi kay waslo furqat janam kay bichray galay milay thay.
Zabanein sukhi dikha kay mojein tarap rahi thien kay pani paein
Bhanwar ko yeh zofay tashnagi that kay halqay aankhoon mein par gaye thay.
Wohi hai awwal wohi hai aakhir wohi hai batin wohi hai zahir
Usi kay jalway usi say milnay usi say uski taraf gaye thay.
Meray Muhammad banay hain dulha,
Khuda ki qudrat keh chand haq kay karoroon manzil mein jalwa kar kay
Abhi na taroon ki chaoon badli keh noor kay tarkay aa liye thay.
Nabi E Rehmat Shafi E Ummat RAZA pay Lillah ho inayat
Isay bhi unn khal’atoon say hisa jo khas rehmat kay waan bate thay.
Sana e Sarkar hai wazifa qabool e Sarkar hai taman’na
Na shayari ki hawas na parwah radi thi kiya kaisay kafiye thay.
Mere Muhammad pyare bane hain dulha, dulha
Mere Muhammad bane hain dulha.
Meraj nabi subhanallah, Meraj nabi Subhan Allah
Mere Muhammad pyare bane hain dulha, dulha
Mere Muhammad bane hain dulha.
Comment