Jitna diya sarkar ne mujhko
Jitna diya sarkar ne mujhko
Itni meri auqat nahi hain
Yeh to karam hain unka varna
Mujh mein to aisi baat nahi hain
Jitna diya sarkar ne mujhko
Tou bhi wahin par ja jis dar par
Sab ki bhigri banti hain
Ik teri taqdeer bana na
unke liye koi baat nahi
Ishq-e-shahe-batha se pehle
Muflis-o-khasta-haal ta mein
Naam-e-Muhammad (pbuh) ke med qurban
Ab woh mere haalat nahi
Zikre-Nabi (pbuh) mein din jo guzrein
Woh din sab se behtar hain
Yaad-e-Nabi (pbuh) mein raat jo guzrein
Iss se behtar raat nahi
Jo hain meri jaan-o-iman
kya mein unki nazar karon?
Paas mere ashko ke ilava
Or koi saugat nahi
Gaur to kar sarkar ki tujh pe
Kaisi khas inayat hain
Kausar tou hain unka Sanakha
Ye mamoli baat nahi
Jitna diya sarkar ne mujhko
Itni meri auqat nahi
Yeh to karam hain unka varna
Mujh mein to aisi baat nahi.
Comment