Ali Haq Ali Ali Haq Ali
ShaHaadat Ko Goud Tu Nai Liya
Muhabbat Ki Rasm Tujh Sai Chali
Ali Haq Ali Ali Haq Ali
Bulandi e Fikr Mansab Taira
Har Ik Aaina Muhaddat Taira
Nigaah e Rasool Maktab Taira
Howa Koi Saani Bhala Kab Taira
Wali ul Wali, Tu Hi Hai ALI
Ali Haq Ali Ali Haq Ali
Tu Shair e Khuda, Hai Mushkil Kusha
Taira Sab Nasab Sadaaqat Numa
Hameeyat Sipar, Shujaa’at Qabaa
Hidaayat Gajjar, Share’at Asaa
Tareeqat Makaa’n, Tasawwuf Gali
Ali Haq Ali Ali Haq Ali
Riza Aur Sabr Jaada Taira
Ghubaar e Safar Libaada Taira
Amal ki Tarah Iraada Taira
Nigaahoun Sai Dil Kushaada Taira
Taira Shoula e Lataafat Gali
Ali Haq Ali Ali Haq Ali
Dua e Ghareeb ka Hamsafar
Bighartai Naseeb ka Chaaragar
Woh Ka’aba Khuda ka Woh Pehla Ghar
Parri USS Pai Tairi Pehli Nazar
Jahan Tairi Pehli Dharkan Chali
Ali Haq Ali Ali Haq Ali
Talab ko Shadeed Tu Nai Kiya
Samaa’at ko Deed Tu Nai Kiya
Mujhai Bhi Mureed Tu Nai Kiya
Karam Yai Mazeed Tu Nai Kiya
Kai Jaa Tairi Aahatoun Mai Dhali
Ali Haq Ali Ali Haq Ali
Comment