Mir Hasan Mir | Sana Masooma e Qum Ki (س) | New Manqabat | 2019

 

 

 

Ya Kareema Fatima (س), Ya Kareema Fatima (س), Ya Kareema Fatima (س)

Likhe ga manqabat ab koi kya Masooma qum (س) ki
Ke jab Allah karta hai sana Masooma qum (س) ki

Hai siqqa meray bazoo par bandha sultan mashad ka
Yun meray sath rehti hai dua Masooma qum (س) ki

Agar puchain raza teri kiya hai tou keh dun ga
Mujhe khudami kar dije ataa Masooma qum (س) ki

Teri taweez turbat par rakha quran kehta hai
Tilawat kar rahi hai inama Masooma qum (س) ki

Kareemo mai kareema aur masoomon mai masooma
Khususiyat hai yeh Zainab ki aur Masooma qum (س) ki

Nuzool ayat tatheer saani hogaya hota
Rida jo aurthey Maula raza Masooma qum (س) ki

Sare Zehra (س) say aayi thi ridaye sani-e-zehra (س)
Sare Zainab (س) say aayu hai rida Masooma qum (س) ki

Ujale meray peeche peeche khud chalte chale aaye
Chala aaya tha chokhat par diya Masooma qum (س) ki

Dare zehra pe hain matam ki yeh pabandiyan jab tak
Aza zehra ki hai tab tak aza Masooma qum (س) ki

Farishte meray janib se adaa karte rahe sajday
Sana jab tak hasan karta raha Masooma qum (س) ki

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *