Mir Hasan Mir | Qabr e Zahra Bana Rahe Hain Ali | Nohay 2020

 

Apni gurbat chupa rahay hain Ali

●Haye Zahra Haye Haider Haye Zehra

●Qabar Zehra bana rahay hain Ali,
Apni gurbat chupa rahay hain Ali

●Kyun qamar jhuk gayi hai Maula ki,
Kis ki mayat utha rahay hain Ali
Apni gurbat chupa rahay hain Ali

●Waqt talqeen zakhmi shahno ko,
Dheere dheere hila rahay hain Ali
Apni gurbat chupa rahay hain Ali

●Samna hogaya hai kanfaz se,
Sabar ko azma rahay hain Ali
Apni gurbat chupa rahay hain Ali

●Apni gardan pe neel rassi ka,
Betiyon se chupa rahay hain Ali
Apni gurbat chupa rahay hain Ali

●Raat hogi to denge gusl o kafan,
Asman dekhe jarahay hain Ali
Apni gurbat chupa rahay hain Ali

●Dete jatay hain gusal bibi ko,
Hichkiyan letay jarahay hain Ali
Apni gurbat chupa rahay hain Ali

●Kesa gham hai jo aaj chalte huye,
Barha larkhara rahay hain Ali
Apni gurbat chupa rahay hain Ali

●Kesi nemat se hogaye marhoom
Hath kyun malte jarahy hain Ali
Apni gurbat chupa rahay hain Ali

●Aik Zehra ik apni gurbat ka,
Do janazay utha rahay hain Ali
Apni gurbat chupa rahay hain Ali

●Aye taqallum Batool kay gham mai,
Ab bhi ansoo baha rahay hain Ali
Apni gurbat bata rahay hain Ali

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *