Mir Hasan Mir | Muqam e Sahib Az Zaman (a.s) Noha | 2015

 

Ya GHAREEB ya HUSSAIN
Ya GHAREEB..
Suno ay ahle aza dard nak ye manzar
Kisi ne poocha Jo QAIM IMAM se rokar,
IMAM roya karte hain q is maqaam par aakar
To sar ko peet k bole ye SHAHE jinno bashar,
Hai,
Na is maqaam pe q ASKARI ka Chain gire,
Ye wo zami’n hai jahan zeen se HUSSAIN gire.
Na is….-2
Ye wo…
Maqaam e SAHIB AZ ZAMAAN hai ye-4
 
1) Isi maqaam pe ab tak faraat roti hai,
Gale lipat k qaza se hayaat roti hai,
TAMAM karbobala sath sath roti hai
Hai ek maa yaha sari raat roti hai.
Na..
Ye..
Maqaam..-2
 
2) Isi maqaam se GHAZI ko SHEH ne di thi sada,
Na dekha tumne hamari ladayi ko bhaiyya,
Ye keh rahe the k bas hurmala ka teer laga,
GHAREEB E ZAHRA yahan zeen par sambhal na saka.
Na.
Ye wo..
Maqaam..-2
 
3) Har ik IMAM ko khoo’n is jagah rulaya gaya,
Jo shamiyo’n k tha bas me wo zulm dhaya gaya,
Yahan pe gher k tishna dahan ko  laya gaya,
Gira kahan yahan mazloom ko giraya gaya.
Na..
Ye wo..
Maqaam..-2
 
4) Ajeeb haal me dekha tha SHAH ko maa ne,
Na maut aati thi na saas itne zakhmi the,
Isi maqaam pa ZAHRA ne apne bete k,
Badan se teer nikale the apne hatho’n SE.
Na..
Ye wo..
Maqaam..-2
 
5) Yahi pa shimr ne socha ho kaise andaza,
KI mar gaya hai ya zinda hai dil bare ZAHRA,
Khayam loot lo ZAINAB k Di phir usne sada,
Tadap k uthte the ZAINAB k naam par MOLA.
Na.
Ye wo..
Maqaam..-2
 
6) ALI k laal k aankho me tha wahi manzar,
Gire the jis jagah barchi k waar se AKBAR,
Jawan laal ko rone KI aarzoo lekar,
Yahi SE ghutniyo chalte hue gaye SARWAR.
Na..
Ye wo
Maqaam..-2
 
7) Chale the ghutniyo AKBAR KI lash tak MOLA,
Yaha SE aage takallum  bayan HO kya bhala,
GHAREEB kaise bhala qatl gah tak pahoncha,
Yahi se zulfe pakad kar layeen le k chala.

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *