Mir Hasan Mir | Intezar – AAJ KA DIN BHI MOLA BEET GAYA Manqabat | 2017

 

Aaj ka din bhi maula beet gaya
phir mera intezaar jeet gaya
 
Mai tere hijr mein tadapta hu
saans leta hu phir bhi murda hu
laylatul qadr meri raatein kar
khwaab mein aake mujhse baate kar
dil hai furqat mein beqaraar bohot
pi chuka zehre intezaar bohot
apne suqraat ko bachaa aakar
sharbat e deed se pila laakar
farase teergi se nikla hu
mai bhi salmaan banna chahta hu
ghar ki masjid se taa hade kaaba
maine tujhko kahan nahi dhundha
maut barso se hai ta’aqqub mein
der kitni hai ab takhatub mein
aye haqeeqat majaaz mein aaja
mujhse milne namaaz mein aaja
lutf kab aayega azaano mein
kab sadaa aayegi ye kaano mein
saahib e zulfiqar aata hai
badalo’n par sawaar aata hai
 
Mere is khwaab ko haqeeqat kar
rehem kar tu mere qabile par
Hai takallum ki ilteja aaja
mere andekhe mustafa, mustafa aaja

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *