Mir Hasan Mir | Bazar Mai Zainab Ne Noha | 2016

 

Haye shaam..(3)
haaye shaam, haaye shaam, haaye shaam..(2)
 
Bazaar mein zainab ne marne ki dua mangi..(3)
jab shaam ke logo se..(2)
abid ne rida mangi
 
haaye shaam, haaye shaam, haaye shaam..(2)
Bazaar mein zainab ne marne ki dua mangi
 
1. Rukhsar sakina ke kuch aur hue nile..(2)
jab saaye mein aane ki..(2)
bachi ne riza maangi
 
2. Jo raah mein chubte the abbas ki behno ko..(2)
un kaanto ne khud rokar..(2)
Mehdi(a.t.f.s) se saza mangi
 
3. Apne liye dono ne ummat se na kuch manga..(2)
zainab ne kafan manga..(2)
sarwar ne rida mangi
 
4. Ehsaas e yatimi phir hone laga zainab ko..(2)
jab ghazi ne bibi se..(2)
marne ki riza maangi
 
5. Zalim ne talab ki hai wo bacchi kanizi mein..(2)
shabbi ne jo beti..(2)
tujhse aye khuda mangi
 
6. Ya rab mujhe dikhla de kaisi hai meri sughra..(2)
ye akhri hichki mein..(2)
akbar ne dua mangi
haaye shaam, haaye shaam, haaye shaam..(2)
bazar mein…
 
7. Rakh deti thi haath apne maa bachi ke hoto’n par..(2)
jab bali sakina ne..(2)
marne ki dua mangi
 
8. Sughra ne duao’n mein sajjad na kuch manga..(2)
baade ali akbar jo..(2)
mangi to qaza mangi
 
haaye shaam, haaye shaam, haaye shaam..(2)
Bazaar mein zainab ne marne ki dua mangi..(2)

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *