Mir Hasan Mir | BAIN Ul HARAMAIN Manqabat | 2017

 

Bain ul haramain..(8)
 
Khaimazan ehle jina hai do haram ke darmiya’n
aashiko ke karwa’n hai do haram ke darmiya’n
aasmaa’n wale kaha hai do haram ke darmiya’n
do jaha’n ke do jaha’n hai do haram ke darmiya’n
jis Mohammad se yaha chahe mulaqatein kare
aaiye is arsh par..(2)
Allah se baatein kare
 
bain ul haramain..(4)
bain ul haramain..(4)
 
Hai ek taraf Abbas tere..(2)
aur ek taraf hai maula Hussain
bain ul haramain..(4)
 
Aye arze yaqee’n kaabe ki zameen..(2)
kehti hai tujhe kaaba kausain
bain ul haramain..(4)
 
Ye zamee’n chaand sitaro’n ki jabee’n lagti hai
kaikasha iske tasadduq mein hasee’n lagti hai
laa makani ki hado’n se ye qaree’n lagti hai
ye to kausain se aage ki zamee’n lagti hai
jo arsh pe tha pehne nalain..(2)
usne bhi utaari hai nalain
bain ul haramain..(4)
 
Bolne lagti hai khamoshiye jazbaat yaha’n
ishq ki jaayi hai sadiyo se ibadaat yaha’n
saare ashiq hume miljate hai ek saath yaha’n
aur nabiyo’n se bhi hoti hai mulaqaat yaha’n
adam bhi yahi, isa bhi yahi
milte hai yahi par zulqarnain
bain ul haramain..(4)
 
Is zamee’n par chale aana hi hai me’raj e bashar
sidra e ishq hai kab aam hai ye raah guzar
taere aql ke jalte hai yehi par sheh par
farsh ban jaata hai khud arsh yaha’n par aakar
qadmo se na chal jaa sar ke bal..(2)
rehti hai yaha’n ummul hasnain
bain ul haramain..(4)
 
Teri qismat se wa qismat ne sitara dekha
khalq karke tujhe khaliq ne dobara dekha
sab zamino’n pe faqat tera ijara dekha
arbaee’n par ye zamane ne nazara dekha
Haan daman mein tere ek saath bhi gar
aaye to samaa jaye kaunain
bain ul haramain..(4)
 
Sar zamee par tere hoti hai bashar ki me’raj
dekh lena tujhe hoti hai nazar ki me’raj
tujhpe sajde se hua karti hai sar ki me’raj
khatm hai tujhpe balandi ke safar ki me’raj
kya samjhenge wo me’raj teri..(2)
jo samjhe nahi me’raj ki ayn
bain ul haramain..(4)
 
Kahi jaate hue dekha hi nahi dono ko
ishq ne dekha hai barso se wahi dono ko
suratan jaante hai ehle yaqee’n dono ko
dhundhne jao na duniya mein kahi’n dono ko
ashoor ke din, matam karte
aayenge nazar tumko meerayn
bain ul haramain..(4)
 
Ek taraf me ghazi ka roza ek taraf sheh ka mazar
ek jaha’n mein dekhe maine do jahan e fatema

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *