Mir Hasan Mir | Al amaan al amaan Noha | 2015

 

YABNAZ ZAHRA-9
ALLAHUMMA AJJIL LE WALIYEKAL FARAJ.
Al amaa’n-6 ya SAHIBAZ ZAMA’N
al amaa’n-al amaa’n ya SAHIBAZ ZAMA’N-3
Tooti hui hain aaj bhi-2 ZAHRA ki pasliya’n.
Al amaa’n…-2
 
1) Haq mangne Jo FATEMA darbar me gayin,
Baithe rahe the log kisi ne haya na KI,
ZAINAB KI maa khadi rahi-2
Logo’n k darmiya’n.
Al amaa’n-4
 
2) Wa hurmata BUTOOL pe kaisi thi wo ghadi
Tumko sadayen deti thi beti RASOOL ki,
Diwar or jalte hue dar k darmiya’n.
Al amaa’n…-4
 
3) Dhati rahi sitam pe sitam ummat e RASOOL,
Deti rahi azaan e wilayat wahan BATOOL,
ASHADO ANNA ALI UN WALI ULLAH
ZAHRA KI baat sunta-2 nahi tha koi jahan.
Al amaa’n..-4
 
4) Darbar se jo laut k Binte NABI gayin,
Guzre na us maqaam se MOLA HASAN kabhi,
Jis kooch me giri thi-2 zami’n par HASAN KI maa.
Al Amaa’n.
 
5) Aabaad hoga phir se wo ujda hua dayaar,
Tab hoga khatm Fatema SUGHRA ka intezar,
AKBAR KI tarha doge-2 madine me jab azaa’n
ALLAH HO AKBAR
Al amaa’n.
 
6) Tanhayi qaid hurre yateemi andhera Ghar,
Had hai KI koi jabhi NAhi sakta qabr par,
Ab or kitna hoga SAKINA ka imteha’n.
Al amaa’n..-4
 
7) Kadiyal jawa’n ko roti hai turbat me aaj bhi
AKBAR k to kaleje as barchi nikal gayi,
ZAINAB k dil SE nikli-2 nahi aaj tak sina.
Al amaa’n..-4
 
8) Bali SAKINA qaid me zinda’n me aaj bhi,
AKBAR hai intezar me beti HUSSAIN KI,
Ab bhi sunayi deti hai-2 bacchi KI hichkiya’n.
Al Amaa’n ya SAHIBUZ ZAMA’N
ALLAH HUMMMA AJJIL LE WALIYEKAL FARAJ

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *