Meri Ulfat Madine Se Yunhi Nahi Naat Lyrics

 

Meri ulfat madine se youn hi nahi

mere aqa ka roza madine mein hai

main madine ki janib na kaise khichoun

mera deen aur dunya madine mein hai

arsh e azam se jis ki barri shaan hai

roza e mustafa jis ki pehchaan hai

jis ka humpalla koi muhalla nahi

eik aisa muhalla Madine mein hai

phir mujhe maut ka koi khatra na ho

maut kya zindagi ki bhi parwa na ho

kaash sarkar ik baar mujh se kahein

ab tera marna jeena Madine mein hai

jab nazar sue taiba rawana hui

saath dil bhi gaya saath jaan bhi gai

main muneer ab rahoon ga yahan kis liye

mera saara asasa Madine mein hai

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *