Meri Ma Tum Mera Ghum Na Kerna | Shadman Raza | Noha Lyrics | 2016

 

Maa meri maa..(2)
meri maa tum mera ghum na karna..(2)
be zuba’n ne ye jhule se awaaz di
apne asghar ka lo ab salaam aakhri
meri maa tum mera ghum na karna..(2)

1. Ran mein jis waqt halmin ki gunji sadaa
muztarib hogaya sheh ka mahelaqa
khaima e shaah mein shore girya utha
apni maa se isharo mein kehne laga..(2)
mere baba ko hai ab zarurat meri
unki haatho pe hogi shahadat meri
meri maa tum mera ghum na karna..(2)

2. Farz ansaar apna adaa kar chuke
tegh khakar gire sue kausar gaye
ek abid hai bus wo hai ghash mein pade
kaun baba ki jakar madad ab kare..(2)
rann ko jaana hai ab zimmedari meri
aa gayi jaan dene ki baari meri
meri maa tum mera ghum na karna..(2)

3. Laashe qasim ke maida’n mein tukde hue
maa ki ankho’n se lekin na aasu bahe
jaan dene phuphi ke dulare gaye
shukr ke waaste maa ne sajde kiye..(2)
mai hu asghar magar azm akbar ka hai
meri rag rag mein bhi khoon haider ka hai
meri maa tum mera ghum na karna..(2)

4. Bolna tak abhi mujhko aaya nahi
nanhe haatho’n se kuch bhi uthaya nahi
teero shamsheer maine chalaya nahi
jung karna kisi ne sikhaya nahi..(2)
mere haatho’n mein naiza na talwaar hai
bus ye sukhi zubaa’n mera hathyaar hai
meri maa tum mera ghum na karna..(2)

5. Jitna dil chahe ro mere baba pe ro
naujawaniye akbar ka nauha padho
jiske shaane kate uska matam karo
mera kya hai suno meri madar suno..(2)
cheh mahine ka hu kuch bhi dekha nahi
soch lena mai duniya mein aaya nahi
meri maa tum mera ghum na karna..(2)

6. Meri khwahar sakina ko batlaiye
ab na aaenge ammu ye samjhaiye
raat aaye to seene se liptaiye
mera ghum chodiye usko behlaiye..(2)
koi zidd hi karunga na rounga mai
ab se baba ke seene pe sounga mai

7. Dekhi madar ne anwar jo laashe pisar
ghum se dil phat gaya gir padi khaak par
roke kehne lagi peet kar apna sar
ae mere laal ae mere noore nazar..(2)
dekh kar tera gehwara jee lungi mai
keh gaye ho to ab ashk pee lungi mai
meri maa tum mera ghum na karna..(2)

 

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *