Mera Dil Aur Meri Jaan Madine Waly | Hafiz Tahir Qadri | 2017

Madina Is liye Attar Jaanon Dil se hai Pyara
Ke Rehte hein Mere Aaqa Mere Dilbar Madine mein

Madina Madina Hamara Madina
Hamein Jaanon Dil se hai Pyara Madina

Khuda gar Qayamat mein Farmaye Mango
Lagayeinge Diwane Naara Madina

Mera Dil aur Meri Jaan Madine Wale
Tujpe So Jaan se Qurban Madine Wale

Fir Tamanna-e-Ziyarat ne kiya Dil be-chain

Aakhari Waqt hai kya ronake Duniya dekhun
Ab to bas Ek hi dhun hai ke Madina dekhun

Mere Maula Meri Aankhein Muje wapas karde
Aake Is baar mein Jee bhar ke Madina dekhun

Fir Tamanna-e-Ziyarat ne kiya Dil be-chain
Fir Madine ka hai Arman Madine wale

Mera Dil aur Meri Jaan Madine Wale

Likhde Likhde Meri Kismat mein Madina Likhde

Raatein bhi Madine ki Baatein bhi Madine ki
Jeene mein ye Jeena hai kya Baat hai Jeene ki

Tarif ke layik jab Alfaz nahin milte
Kis Tarha kare koi Tarif Madine ki

Arsa hua Tayba ki Galiyon se Wo guzre the
Is Waqt bhi Galiyon mein Khushbu hai Pasine ki

Likhde Likhde Meri Kismat mein Madina Likhde

Hai Teri Milk Kalamdan Madine Wale
 
Mera Dil aur Meri Jaan Madine Wale
 
Bhar de Bhar de Mere Aaqa Meri Jholi bhar de
 
Tum Zamane ke Mukhtar ho Ya Nabi
Bekason ke Madadgar ho Ya Nabi
 
Sabki Sunte ho Apne hon ya Gair hon
Tum garibon ke Ghamkhwar ho Ya Nabi
 
Usman Jaan-Nashine Payambar ka Wasta
Mushkil-kusha Fatehe Khaibar ka Wasta
Abbas ke kate hue shanon ka Wasta
Shabbir ke jale hue Khaime ka Wasta
 
Ya Rasulallah………
 
Bhar de Bhar de Mere Aaqa Meri Jholi bhar de
Ab na rakh Be-saro Saman Madine Wale
 
Mera Dil aur Meri Jaan Madine Wale
 
Ab Aye Rabbul-Ula Aur kya chahiye
Mil gaye Mustafa Aur kya chahiye
 
Damane Mustafa Jinke Hathon mein hai
Unko Roze Jaza Aur kya chahiye
 
Aap Apni Gulami ki de dein Sanad
Bas yahi Izzaton Martaba chahiye
 
Bhar ke Jholi Meri Mere Sarkar ne
Muskura kar kaha Aur Kya chahiye
 
‘Sage Tayba’ Muje Sab kehke Pukarein Bedam
 Yahi Rakhein Mere Pehchan Madine Wale
 
Mera Dil aur Meri Jaan Madine Wale

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *