Mein Madinay Chala | Hafiz Tahir Qadri | 2016

 

Mein madine chala  Mein madine chala
Madine chala Madine chala Madine chala

Madine ne se bulawa aa raha hai
Mera dil mujse pahele jaa raha hai

Mein madine chala Mein madine chala
Mein madine chala Mein madine chala

Mein madine chala Mein madine chala
Fir karam ho gaya mein madine chala

Kaif sa chha gaya mien madine chala
Masto bekhud bana mein madine chala
Mein madine chala

Zahe kismat madine jaa raha hun
Sa’adat kesi aala paa raha hun
Mere yaaron zara mujko sambhalo
Khushi se mein to machla jaa raha hun

Kya bataun mili dil ko kesi khushi
Jab ye muzda suna mein madine chala
Mein madine chala

Hamko apni talab se siwa chahiye
Aap jaise hein wesi ata chahiye
Kyun kahun ye ata wo ata chahiye
Unko malum hai hamko kya chahiye
Bharke joli meri mere sarkar ne
Muskura kar kaha aur kya chahiye

Hath uthte rahe mujko dete rahe
Wo talab se siwa mein madine chala
Mein madine chala

Kitna roshan madine ka darbar hai
Zarra zarra waha ka to mahtab hai
Hai mu’attar mu’attar wahan ki faza
Tum chalo na chalo mein chala mein chala

Mere aaqa ka dar hoga peshe nazar
Chahiye aur kya mein madine chala
Mein madine chala

Jab gumbade khazra pe wo paheli nazar gayi
Aankhon ke raste mere dil mein utar gayi

Gumbade sabz par jab padegi nazar
Kya surur aayega mein madine chala
Mein madine chala

Haram ki zameen aur kadam rakh ke chalna
Are sar ka mauka hai ohh jaane wale !

Mere gande kadam aur unka haram
Laaj rakhna khuda mein madine chala
Mein madine chala

Jisne madine jana karlo tayyariyan
Beda madine wala lendha fe tariyan

Kya karega idhar bandh rakhte safar
Chal Ubaide Raza mein madine chala
Mein madine chala

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *