Mir Hasan Mir | Musadas Hazrat e Zahra (a.s) Manqabat | 2015

 

Fatema Zahra, Fatema Zahra..(4)
 
Madha karni hai fatema ki mujhe..(2)
sahibe zulfiqar al-madade
bakhuda hakima e kaun o makaa’n hai zahra..(2)
 
1. Bakhuda hakima e kaun o makaa’n hai zahra
dehne aayaat mein qur’aa ki zabaa’n hai zahra
misra e hazrat e chishti me nihaa’n hai zahra
dee’n hai shabbir to shabbir ki maa hai zahra
haq ki tableegh ke paighaam me kya rakha hai
ye jo hat jaye to islam mein kya rakha hai
 
bakhuda hakima e kaun o makaa’n hai zahra..(2)
 
2. Lab e payghambar e akhir ka wazeefa zahra
chashme qur’aa se jo dekho to saheefa zahra
ismat o iffat o hikmat ka khazeena zahra
abd o mabood ke maa bayn waseela zahra
us waseele ki agar raah numayi na mile
khud rasoolo’n ki duao’n ko rasaayi na mile
 
bakhuda hakima e kaun o makaa’n hai zahra..(2)
 
3. Ishq tauheed hai tauheed ka irfan hai yeh
ishq iqraar e nabuwat hai to eeqaan hai yeh
ishq hai khun ki ye dil khoon ka dauraan hai yeh
ishq eemaan hai eemaan ki pehchaan hai yeh
apne eemaa’n ko tazabzub se mubarra na kiya
wo kahi ka na raha jisne tabarra na kiya
 
bakhuda hakima e kaun o makaa’n hai zahra..(2)
 
4. Farz e tehzeeb e aqeedat ko nibhana warna
ek reyaaya ki tarha sar ko jhukana warna
azmat e maadar e hasnain batana warna
be ijazat dar e zahra pe na aana warna
haq ne bakshi hai jo tauqeer wo jaa sakti hai
malakul maut tujhe maut bhi aa sakti hai
 
bakhuda hakima e kaun o makaa’n hai zahra..(2)
 
5. Waah kya darr hai dar e bint e shehenshah e umam
ye sakhawat ye ataaein ye shifa’at ye karam
ye hai salman e muqaddas wo sulaiman e hasham
ye bulandi, ye buzurgi, ye falak aur ye hum
sar jhukate hai to azmat ka safar lagta hai
sar uthate hai to kausain se sar lagta hai
 
bakhuda hakima e kaun o makaa’n hai zahra..(2)
 
6. Tere darr par tere hubdaar khade rehte hai
ambiya, auliya autaar khade rehte hai
haan mere jaise bhi gunehgaar khade rehte hai
hadd hai ye ahmad e mukhtar khade rehte hai
manzil e sidra pe jisko na jhijhakte dekha
us nabi ko teri dehleez pe rukte dekha
 
bakhuda hakima e kaun o makaa’n hai zahra..(2)
 
7. Mohr e angushte wilayat pe nageena tera
malik e mulk ki daulat hai safeena tera
turbato’n mein jo nehaa hai wo khazeena tera
Karbala teri, Najaf tera, Madina tera
Riqqa o Mash’had o Kashaan o Halab tere hai
aasmaa’n jitne zameeno pe hai sab tere hai
 
bakhuda hakima e kaun o makaa’n hai zahra..(2)
 
8. Hukm jo dediya tune wo nibhana hoga
khudko hasnain ka khayyat batana hoga
seeke malboos ko hasnain ke laana hoga
tune jab keh diya rizwan ko aana hoga
tere aage to mashiyat bhi nahi chal sakti
kuch bhi hojaye teri baat nahi tal sakti
 
bakhuda hakima e kaun o makaa’n hai zahra..(2)
Fatema Zahra, Fatema Zahra

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *