kyun kar na ho mere dil mein ulfat rasool ki | Muhammad Owais raza Qadri | 2018

 

 

Kyun kar na meray dil mein ho ulfat Rasool (SAW) ki,

Jannat mein lay kay jaey ghi chahat Rasool (SAW) ki.

 

Chalta hoon mein be qafelay walo ruko zara,

Milnay do bus mujhay bhi ijazat Rasool (SAW) ki.

 

Kyunkar na mere dil mein ho ulfat Rasul (SAW) ki,

Jannat mein lay kay jaey gi chahat Rasool (SAW) ki.

 

Phochain jo deen-o-iman Nakerain qabr mein

Us waqt meray lab pay ho midhat Rasool (SAW) ki.

 

Jannat mein lay kay jaey gi chahat Rasool (SAW) ki.

Kyunkar na mere dil mein ho ulfat Rasool (SAW) ki,

 

Qabr mein Sarkar (SAW) aayein to mein qadmoon mein giroon,

Gar farishtay bhi uthaein to mein unsay yoon kahoon,

Ab to paye naaz say mein aye farishto kyon uthoon,

Mar kay pohncha hoon yahan is dilruba kay wastay.

 

 

 

Tarpa kay un kay kadmoon mein mujh ko gira day shok,

Jis waqt ho lahad mein ziyarat Rasool (SAW) ki.

 

Jannat mein lay kar jaey gi chahat Rasool (SAW) ki.

Kyunkar na mere dil mein ho ulfat Rasool (SAW) ki,

 

Sarkar (SAW) nay bula kay Madina dikha dia,

Ho ghi mujhay naseeb, shafa’at Rasool (SAW) ki.

 

Jannat mein lay kar jaey gi chahat Rasool (SAW) ki.

Kyunkar na mere dil mein ho ulfat Rasool (SAW) ki,

 

Ya Rab dikha day aaj ki shab Jalwa e Habib (SAW),

Ik bar to aata ho ziarat Rasool (SAW) ki.

 

In ankh ka warna koi hasrat hi nahin hai,

Sarkar (SAW) tumhara woh khazaiba nazar aaye,

Ya Rab dikha day aaj ki shab Jalwa e Habib (SAW),

Ik bar to aata ho ziarat Rasool (SAW) ki.

 

Jannat mein lay kay jaey gi chahat Rasool (SAW) ki.

Kyunkar na mere dil mein ho ulfat Rasool (SAW) ki,

 

Damen mein un kay lay lo pannah aaj munkiro,

Mahengi paray ghi warna Adawat Rasool (SAW) ki.

 

To hai ghulam un ka Ubad-e-Raza teray,

Mahshar mein ho ghi saath himayat Rasool (SAW) ki.

 

Kyun kar na meray dil mein ho Ulfat Rasool (SAW) ki.

Jannat mein lay kay jaey Ghi Chahat Rasul (SAW) ki.

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *