Kushta-E-Shamsheer Alamdar Irfan Haider

 

Aye alamdaar… Saqqa e sakina
Abbas alamdaar, alamdaar..(2)
Peshe nigaahe shahe karbala
ghalti daye khaako khoo’n
shud parchame bawafa
nauhakuna sayyede abraar
Ah uftaad e sare karbobala ya zainab..(2)
kushta e shamsheer alamdaar
kushta e shamsheer alamdaar, alamdaar..(2)
Allah, Allah…
kushta e shamsheer alamdaar, alamdaar..(2)
Alamdaar, Alamdaar
 
1. Haaye…
Ae bahan jispe naaza the hum
hogaye hai wo baazu qalam
pyaaso pe fida hogaya, saqqa e sakina
pardes mein hum dono ka, dushwaar hai jeena
arey,
bhai hume chhod gaya ya zainab
Ah uftaad….
 
2. Haaye,
Aaayi maqtal se jab ye sada
aaiye ibne shere khuda
jis samt se awaaz mujhe aai thi behna
mai thokre khaata hua us simt hi nikla
arey,
raah mein ek bazu mila, ya zainab
Ah uftaad….
 
3. Haaye….
Phir usi samt mai chal diya
aai thi jis taraf se sadaa
jab dusra bazu mila, us shere jari ka
dil dard se lachaar hua, tere akhi ka
arey,
hoto pe aayi ye buka, ya zainab
Ah uftaad….
 
4. Haaye…
Aye bahan thaam lo dil zara
phir wo lamha qareeb aagaya
be dast alamdaar ko, jab khaak pe dekha
us sher ki peshani pe, ek gurz laga tha
arey,
dil pe wahi gurz laga, ya zainab
Ah uftaad….
 
5. Haaye…
Phir wo karne laga yu kalaam
ibne zehra ho tumpar salaam
mai roke ye bola ke, zara aankhein to kholo
aye bhai agar koi, wasiyat hai to kehdo
arey,
sunke jari rone laga, ya zainab
Ah uftaad….
 
6. Haaye…
Roke ghaazi ye kehne laga
arz itni hai shahe huda
mai mashk pe qurbaan hua, ye to batana
par laash meri khaime mein, lekar nahi jaana
arey,
maine bhi aisa hi kiya, ya zainab
Ah uftaad….
 
7. Haaye…
Sunke zainab ne nauha kiya
ab chinegi yaqeenan rida
aye mazharo irfan wo, qayamat ka tha manzar
ghaazi ki bahan aagayi, khaimo mein tadapkar
arey
khaimo mein kohraam utha…
Haye alamdaar, haye alamdaar, haye alamdaar

 

 

 
 

 

 

 

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *