Karbala Mojizah Hai – Syed Irfan Haider – 2016

 

Karbala, karbala, karbala..(2)
Karbala…
Zinda thi, zinda hai, zinda rahegi
ye to dil walo ki baat hai, isko samjhenge dil waale..(2)
jiske seene mein dil hi nahi hai wo kya samjhega
karbala kya hai..(2)
Jageer e akbar, karbala
Hurr ka muqaddar, karbala
hai dee’n ka mehwar, karbala
karbala…
karwan e azaa saari duniya ko batla raha hai
karbala mojiza hai..(4)
 
1. Karbala ki zamee’n par karodo bashar
shauke deedar mein aate hai saal bhar
jis taraf ho nazar,
har taraf sar hi sarr
aisa majma na yasrab na kaabe mein dekha gaya hai
karbala mojiza hai..(4)
 
2. Saari duniya ki khatir dawa ban gayi
be saharo’n ki khatir asaa ban gayi
khoon e shahe huda
is jagah jab gira
jisko tum khaak kehte ho duniya ki khatir shifa hai
karbala mojiza hai..(4)
 
3. Jab watan se kahi bhi koi jayega
saath saugaat pardes ki laayega
zaere karbala
nauha karta hua
jo raha bekafan uske darr se kafan le chala hai
karbala mojiza hai..(4)
 
4. Haq likho haq padho to gawah ast hussain
karbala deen hai dee’n pana ast hussain
keh raha hai qalam
mujhko rab ki qasam
maine sirre shahadat ki tafseer mein ye kaha hai
karbala mojiza hai..(4)
 
5. Do jaha’n ke liye ek maseeha bhi hai
karbala, karbala ek wazeefa bhi hai
har maraz ki dawa
hai shifa hi shifa
mil gayi jisko beenayi wo to yehi jaanta hai
karbala mojiza hai..(4)
 
6. Zarf ko aazmati hai karbobala
ishq karna sikhati hai karbobala
padh namaz e wafa
raaz khul jayega
apne mabood se law lagane ka ek raasta hai
karbala mojiza hai..(4)
 
7. Fikr e batil se hai munharif karbala
sab zameeno se hai mukhtalif karbala
tumne dekhi kahee’n
khoo’n ugalti zamee’n
ye gawahi to sadiyo se aashoor bhi de raha hai
karbala mojiza hai..(4)
 
8. Karbala mein jo shame ghareeba hui
shame ghareeba..(3)
dekha zainab ne aate hai shere khuda
baap ko dekha beti ne ki ilteja
aagayi shaam e ghareeba baba..(2)
haaye irfan o mazhar ye nauha tha zainab ka
baba…. baba…. baba..
ek din mein mere ghar ko sitamgaaro ne loota
pamaal kiya laasho’n ko khaimo ko jalaya
abbas ke baazu kate – mai ujad gayi
bachhe mere maare gaye – mai ujad gayi
duniya se jab asghar gaye – mai ujad gayi
haan mai ujad gayi baba
hussain ya hussain, ya hussain, ya hussain ya hussain..(4)

 

 

 
 

 

 

 

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *