Kabhi Zakham Dil ka Chupa Liya | Qari Waheed Zafar Qasmi | 2015

 

Kabhi zakhm dil ka saja liya
Kabhi koi ashk baha liya

Yehi haal tha mera roz-o-shab
Ke Nabi ne dar pe bula liya

Wo jo bar-e-hijr tha tal gaya
Main ghareeb-e-shahar sambhal gaye

Tere shahar khuld-e-sifaat me
Mera bojh kisne utha liya

Teri rahamton ke jawaar me
Teri atifat ke hisar me

Main gunahgar pahunch gaya
Koi kaam aaya diya liya

Main misal-e-kah tha raah me
Main ghira hua tha gunah me

Teri bazm-e-charkh panah me
Mujhe kisne paas bitha liya

Kabhi zakhm dil ka saja liya
Kabhi koi ashk baha liya

Yehi haal tha mera roz-o-shab
Ke Nabi ne dar pe bula liyaa

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *