Irfan Haider || Bazar E Shaam Zainab || Noha

 

Haaye..Haaye..
Zainab aur shaam..(2)
Nabi ke roze par, sadaat ye karte the buka
ghareeb zainab kaise bhulaye shaam
balo ki safedi…
har zakhm dil ka, neel rasan ke
chashm e sajjad se wo behte hue khoon ke aansu
kehte hai..
 
bazaar e shaam zainab, darbaar e shaam zainab..(2)
zindan e shaam zainab kaise bhulaye
 
bazaar e shaam zainab, darbaar e shaam zainab..
zindan e shaam zainab kaise bhulaye
 
1. Gyarah (11) moharram karbobala se
shaam chali Ahmed ki nawasi
saath alam ke surkh pharera
naizo pe sar chehro pe udaasi
lekar nishaan.. zainab
be sayebaan.. zainab
thi nauha khwaan.. zainab
kaise bhulaye
 
bazaar e shaam zainab, darbaar e shaam zainab..
zindan e shaam zainab kaise bhulaye
 
2. Shaam sheher mein jis dum pohche
mehwe buka thi aale payambar
shehnayi ki goonj thi har soo
aag barasti thi kahi’n patthar
ghum se nidhaal.. zainab
thi pur malaal.. zainab
wo istaqbaal.. zainab
kaise bhulaye
 
bazaar e shaam zainab, darbaar e shaam zainab..
zindan e shaam zainab kaise bhulaye
 
3. Shehr e halab mein qafla pohcha
taaza qayamat waqt ne dhayi
gard e safar chehro pe padi thi
shiree’n hamein pehchaan na payi
kunbe ki zayn.. zainab
wo shoro shayn.. zainab
shiree’n ke bayn.. zainab
kaise bhulaye
 
bazaar e shaam zainab, darbaar e shaam zainab..
zindan e shaam zainab kaise bhulaye
 
4. Naize pe dekha akbar ka sar
kufe mein boli ek zaeefa
aye kaash teri maut se pehle
mar gayi ho teri madar dukhiya
lab tashnkaam.. zainab
han wo kalaam.. zainab
badr-ut-tamaam.. zainab
kaise bhulaye
 
bazaar e shaam zainab, darbaar e shaam zainab..
zindan e shaam zainab kaise bhulaye
 
5. Chalte hue naaqe se giri thi
raah mein jab masoom sakina
dhundhne nikli zainab dukhiya
daadi ke pehlu mein use paaya
thi beqaraar.. zainab
aa dil figaar.. zainab
maa ki pukaar.. zainab
kaise bhulaye
 
bazaar e shaam zainab, darbaar e shaam zainab..
zindan e shaam zainab kaise bhulaye
 
6. Shaam ki galiyo’n aur koocho mein
nauha kuna aulad e nabi thi
ehle haram sab be parda the
charo taraf mahaul sharabi
bint e ameer.. zainab
hoke aseer.. zainab
nazro ke teer.. zainab
kaise bhulaye
 
bazaar e shaam zainab, darbaar e shaam zainab..
zindan e shaam zainab kaise bhulaye
 
7. Ehle haram ke dil pe likhi hai
kaan’to bhari abid ki musafat
wo tees ghante kaise bhulaein
aale nabi aur baab e sa’at
jab pehli baar.. zainab
pohchi darbaar.. zainab
wo intezaar.. zainab
kaise bhulaye
 
bazaar e shaam zainab, darbaar e shaam zainab..
zindan e shaam zainab kaise bhulaye
 
8. Pehli majlis qaid e jafa mein
barpa hui irfan aur mazhar
pohchi madine paa ke rehayi
nana se boli zainab e muztar
bazaar e shaam.. zainab
darbaar e shaam.. zainab
zindaan e shaam.. zainab
kaise bhulaye
 
bazaar e shaam zainab, darbaar e shaam zainab..
zindan e shaam zainab kaise bhulaye
 
Zainab aur shaam…

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *