Ik Mai Hi Nahi Un ﷺ Par | Hafiz Ahmed Raza Qadri | Ramadan Naat | 2018

Ek Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai,
Ek Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai,

Ek Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai,
Jo Rab E Do Aalam Ka Mehboob Yagana Hai.

Kal Pul Se Hamein Jis Ne Khud Paar Lagana Hai,
Zahra Ka Woh Baba Hai Hasnain Ka Nana Hai.

Aao Dar E Zahra Par Phelaye Hue Daaman,
Hain Nasl Kareemon Ki Lajpaal Gharana Hai.

Hoon Shah E Madina Ki Mein Pusht Panahi Mein,
Kya Iski Mujhe Parwah Dushman Jo Zamana Hai.

Izzat Se Na Marjayein Kyun Naam E Muhammad Par,
Youn Bhi Kisi Din Hum Ko Duniya Se Toh Jana Hai.

Yeh Keh Ke Dar E Haq Se Li Maut Mein Kuch Mohlat,
Milad Ki Aamad Hai Mehfil Ko Sajana Hai.

Iss Hashmi Dulha Per Konain Ko Main Waroon,
Jo Husn O Shumail Mein Yakta E Zamana Hai.

Pur Noor Si Raahein Hain, Gumbad Pe Nigahein Hai,
Jalwe Bhi Anokhe Hain, Manzar Bhi Suhana Hai.

So Bar Agar Tauba Tuti Bhi To Kiya Hairat,
Bakhshih Ki Riwayat Mein Toba To Bahana Hai.

Qurban Us Aaqa Par Kal Hashr Ke Din Jisne,
Iss Ummat E Aasi Ko Kamli Mein Chupana Hai.

Har Waqt Woh Hai Meri Duniya E Tasawwur Mein,
Aie Shoq Kahin Ab To Aana Hai Na Jana Hai.

Hum Kyun Na Kahein Unsay Rodad E Alam Apni,
Jab Unka Kaha Khud Bhi Allah Ne Mana Hai.

Mehroom E Karam Is Ko Rakhiye Na Sar E Mehshar,
Jaisa Hai Naseer Aakhir, Saahil Toh Purana Hai.

Ek Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai,
Jo Rab E Do Aalam Ka Mehboob Yagana Hai.aa

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *