Hassan Sadiq | Khat Fatima Sughra Nay | 1994

 

khat fathima sughra ne ye baba ko likha hai
bemaar hoo marti hoo ye sab tumko pata hai

jis roz se dekha hai moharram ka naya chand
ye kaise likun baba ke dil toot gaya hai
khat fathima sughra ne….

wada to kiya baba nibhane nahi aaye
bemaar se kis baat pe moo phayr liya hai
khat fathima sughra ne….

baba mujhe dasti hai ye tanhai watan ki
ye ghar ki udaasi hai to phir khabr may kya hai
khat fathima sughra ne….

laut aate hai ghar shaam ke hotay hi parinde
kunba mera kyon ab bhi safar may hi raha hai
khat fathima sughra ne….

tum jab se gaye ghar se ye ghar khabr hai meri
mai zindan hai aise ke koi laasha pada hai
khat fathima sughra ne….

baba mere asghar ka to kuch haal sunao
us be-zaban ne mujhko kahin yaad kiya hai
khat fathima sughra ne….

.dekha hai hasan sadiq rehaan ke nowho may
ashkon ka samandar hai jo palkon pe ruka hai
khat fathima sughra ne….

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *