Faslon Ko Takalluf | Hafiz Tahir Qadri | 2018

Faslon Ko Takalluf Hai Hum Se Agar,
Hum Bhi Bebas Nahin Besahara Nahi.

Khud Unhi Ko Pukarenge Hum Door Se,
Raaste Mein Agar Paon Thak Jayenge.

Hum Madine Mein Tanha Nikal Jayenge,
Aur Galiyon Mein Kasdan Bhatak Jayenge.

Hum Wahan Jake Wapas Nahin Aayenge,
Dhoondte Dhoondte Log Thak Jayenge.

Jaise Hi Sabz Gumbad Nazar Aayega,
Bandagi Ka Kareena Badal Jaye Ga.

Sar Jhukane Ki Fursat Milegi Kise,
Khud Hi Palkon Se Sajde Tapak Jayenge.

Naam E Aaqa Jahan Bhi Liya Jayega,
Zikr Unka Jahaan Bhi Kiya Jayega.

Noor Hi Noor Seeno Mein Bhar Jayega,
Saari Mehfil Mein Jalwe Lapak Jayenge.

Ae Madine Ke Zaahir Khuda Ke Liye,
Daastaan E Safar Mujko Yoon Mat Suna.

Baat Badh Jayegi Dil Tadap Jayega,
Mere Mohtaat Aansoo Chalak Jayege.

Unki Chashme Karam Ko Hai Iski Khabar,
Kis Musafir Ko Hai Kitna Shauk-E-Safar.

Humko Iqbal Jab Bhi Ijaazat Mili,
Hum Bhi Aaqa Ke Darbaar Tak Jayenge.

Faslon Ko Takalluf Hai Hum Se Agar,
Hum Bhi Bebas Nahin Besahara Nahi.

Khud Unhi Ko Pukarenge Hum Door Se
Raaste Mein Agar Paon Thak Jayenge .
(Sallallahu Alaihi Wasallam)

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *