Farhan Ali Waris | Zuljanah Hain Kahan Baba Jan | 2019 | 1441

 

Zuljanah, zuljanah..(2)
Khali aaya hai shabbir ka zuljanah
Zuljanah, zuljanah

zuljanah se sakina ne rokar kaha

1. Kyu hai baage kati, jism zakhmi tera
zeen khali hai kyu, aur sar hai jhuka
bolta kyu nahi, chup hai teri zabaa’n
zuljanah, zuljanah hai kaha’n baba jaa’n..(2)

2. Tere payro’n se lipti mai kehti rahi
baad baba ke mai jee nahi paungi
mere baba ko tu, chhod aaya kaha’n
zuljanah, zuljanah hai kaha’n baba jaa’n..(2)

3. Ab tamacho’n se mujhko bachayega kaun
mujhko seene pe apne sulayega kaun
is yatimi mein ab, kaun hai sayebaa’n
zuljanah, zuljanah hai kaha’n baba jaa’n..(2)

4. Jis tarha mere saare sahare gaye
tu bata kya mere baba maare gaye
kyu teri aankh se, hai ye aansu rawaa’n
zuljanah, zuljanah hai kaha’n baba jaa’n..(2)

5. Kund khanjar chalane laga jab laee’n
mere baba ko paani diya kya nahi?
yaa dame zibha bhi, the wo tishna daha’n
zuljanah, zuljanah hai kaha’n baba jaa’n..(2)

6. Mujhko batla gaye zakhm tere hai jo
itna zakhmi hai tu, kitne zakhmi the woh
teer kitne lage, kis qadar barchiya’n
zuljanah, zuljanah hai kaha’n baba jaa’n..(2)

7. Dard furqat se dil mera phat jaega
apne baba ke seene pe chayn aayega
hai jaha’n babajaa’n, mujhko le chal waha’n
zuljanah, zuljanah hai kaha’n baba jaa’n..(2)

8. Haye farhan o mazhar, sakina dukhi
zuljanah se lipat kar wo roti rahi
keh rahi thi ye masoom ki siskiya’n
zuljanah, zuljanah hai kaha’n baba jaa’n..(2)
Zuljanah, zuljanah..(4)

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *