Farhan Ali Waris | Yehi Charagh Jalenge To Roshini Hogi | 2021 | 1443

Charaghe Aza Jalaty Raho
Wafa Ky Phool Khilaty Raho

Banao Nasl E Azadar To Khushi Ho Gi
Yehi Charagh Jalenge To Roshini Hogi

Tabarrukat Aqeedat Sy Yeh Banaty Hain
Alam Bhi Chota Sa Mimbar Bhi Yeh Sajaty Hain
Phir Apni Boli Mein Nohay Bhi Yeh Sunaty Hain
Aza Ka Jazba Liye Nasl Yeh Barhi Ho Gi

Yehi Charagh Jalenge To Roshni Hogi

Do Nanhy Bachay Karaty Hain Majlis E Sarwar
Khuda Ky Farsh Bichati Hain Binte Payghambar
Jinaan Sy Sath Mein Dadi Ky Aty Hain Asghar
Dua Sakina Ky Lab Par Yeh Aa Rahi Hogi

Yehi Charagh Jalenge To Roshni Hogi

Banao Nasl Azadar To Khushi Ho Gi
Yehi Charagh Jalenge To Roshni Hogi

Hussain Razi Hon Karni Hai Tarbiyat Aisi
Banao Matami Bachon Ko Aur Namazi Bhi
Basao Khoon Mein Azadari Aur Wilaye Ali
Shaoor O Ilm O Aqeedy Ki Zindagi Ho Gi

Yehi Charagh Jalenge To Roshni Hogi

Yeh Ek Zamana Hai Aye Ga Ek Zamana Phir
Bany Ga In Mein Koi Aalim Aur Koi Zakir
Yeh Noha Khuwan Banen Gy Hussain Ki Khatir
Yeh Nasl Fasl E Aza Ban Ky Phir Hari Ho Gi

Yehi Charagh Jalenge To Roshni Hogi

Dill E Batool Mein Aala Hai Martaba In Ka
Har Ek Qadam Py Barhana Hai Hosla In Ka
Hamesha Karna Hai Humwaar Rasta In Ka
Janab E Fatima Zehra Ko Phir Khushi Ho Gi

Yehi Charagh Jalenge To Roshni Hogi

Ab In Hi Bachon Ky Hathon Mein Hai Azadari
Inhen Abhi Sy Sikhani Hai Tazia Dari
Hum In Ko Sonp Ky Jayen Gy Yeh Alamdari
Aza Yeh Jaisy Keh Hoti Thi Waisi Hi Ho Gi

Yehi Charagh Jalenge To Roshni Hogi

Inhen Sikhao Keh Hoti Hai Yeh Aza Kaisy
Alam Sajaty Hain Kis Tarha Zuljanah Kaisy
Sabeel Pyason Ki Banti Hai Ja Baja Kaisy
Aza Ki Hai Jo Wirasat Woh Sonpni Ho Gi

Yehi Charagh Jalenge To Roshni Hogi

Mila Jo Hum Ko Bazurgon Sy Mazhar O Farhan
Azaii Wirsa Jo Rehta Hai Shamil E Emaan
Hamari Naslon Ki Bakhshish Ka Hai Yehi Samaan
Jahan Mein Gham Na Rahen Gy Aza Yun Hi Ho Gi

Yehi Charagh Jalenge To Roshni Hogi

Banao Nasl Azadar To Khushi Ho Gi
Yehi Charagh Jalenge To Roshni Hogi

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *