Farhan Ali Waris |YATEEMI HAI SAKINA HAI BARA ZALIM | 2017

 

Yateemi Hai Sakina Hai Bara Zalim Zamana Hai.
 
Riwayat Mein Hai Jab Bhi Qafila Doraya Jata Tha.
Sar-e-Shabir(AS) Naizay Se Sada Yeh Deta Jata Tha.
Sanbhalo Tum Isse Zaianb(SA) Abhi Bazar Jana Hai.
Yateemi Hai Sakina Hai Bara Zalim Zamana Hai.
 
Laeen Iss Ko Darate Hain Kabhi Duray Lagate Hain.
Sitamgar Taiz Naqoon Se Isse Neeche Girate Hain.
Sakina(SA) Jab Bhi Roti Hai Tamache Bhi Lagate Hain.
Meri Bachi Ko Aye Zainab(SA) Laeeno Se Bachana Hai.
 
Kahan Yeh Phool Si Bachi Kahan Seh Rooz Ke Faqay.
Abhi Dekhe Hain Khud iss Ne Chacha Our Bhai Ke Lashe.
Bare Sadme Uthaye Hain Kayi Ratoon Ki Jagi Hai.
Hamare Baad Seene Par Tumhein Iss Ko Solana Hai.
 
Kaleja Tham Lo Zainab(SA) Yeh Manzar Khoon Rolata Hai.
Mera Sajjad(AS) Ghairat Se Nigahoon Ko Jhukata Hai.
Ke Zalim Ab Sakina(SA) Ko Kaneezi Mein Bolata Hai.
Behan Na Paak Nazroon Se Sakina(SA) Ko Chupana Hai.
 
Yazeed-e-Nehas Kehta Hai Meri Bali Sakina(SA) Se.
Agar Hai Pyar Baba Ko Keh Do Sar Se Khud Aaye.
Hai Waqt-e-Imtehaan Zainab(SA) Meri Bachi Na Mar Jaye.
Hamare Sar Ko Khud Uth Kar Ab Oss Ke Pass Jana Hai.
 
Gaye Qabar-e-Par Jonhi :FARHAN:-o-:MAZHAR:.
Bohat Roye Kiya Matam Jo Dekha Sham Ka Manzar.
Unhi Logon Ke Nargay Mein Ghiri Hai Aaj Bhi Muztar.
Wohi Tanhaiyaan Ab Bhi Hain Andhera Qaid Khana Hai.

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *