Farhan Ali Waris | Amma Fizza Abbas Ko Bulana | Noha | 2017

 

Kaysa hai yeh charakhaa
Dil dubey jaa rahai hai
Kya Shaam Aagaya hai
(Amma fizza bata de mujko pathar kyu aarahai) x3
Hone lagi Azaane, Kayse saron ko dhaampe
Bazu bandhe huwe hai, Khu(n) ro rahi hai aankhei
Aankho(n) ke khu(n) se raste, khu(n) mei naha rahe hai
Kya Shaam Aagaya Hai
(Amma fizza bata de mujko pathar kyu aarahai) x3
Sajjad ka kaleja, Sad Paash ho raha hai
Ik eik zakhm inka, is gham me ro raha hai
Zainab ka naam lekar, adaa bula rahe hai
Kya shaam agaya hai
(Amma fizza bata de mujko pathar kyu aarahai) x3
Nayze Pey jitne sar hai, Ik sar hai unmei aysa
Aankhein hai bandhe uski, aur khaak par hai girta
Abbas ka yeh sar hai, Teywar bata rahai hai
Kya Shaam Aagaya Hai
(Amma fizza bata de mujko pathar kyu aarahai) x3
Itna chale hai pedhal, kanto(n) pe sare qaydi
Thak jati chalte chalte, chalti agar zamin bhi
Pero(n) ke able bhi, ansu bahaa rahe hai
Kya shaam agayi hai
(Amma fizza bata de mujko pathar kyu aarahai) x3
Hai log kistarha ke, humse dua karaye
Aai Qaydiyon Dua do, Yeh din na ham pe aaye
Lekar duayen hamse, dil bhi dukha rahai hai
Kya Shaam Aagaya Hai
(Amma fizza bata de mujko pathar kyu aarahai) x3
Maaon ke gaudiyon se, Lipte huwe hai bache
Hai haath rassiyo(n) mei, maao(n) ke aise jhakre
Bachhey jo gir rahey hai, wo marte jaarahai hai
Kya Shaam Aagaya Hai
(Amma fizza bata de mujko pathar kyu aarahai) x3
“Rehan” qaydiyo(n) me, barpa tha shor girya
Palko(n) se kar rahi thi, matam jo binte zahra
Sajad nawha khwan hai, nawha suna rahe hai
Kya shaam agaya hai
(Amma fizza bata de mujko pathar kyu aarahai) x3

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *