Farhan Ali Waris | Ali Ali Haider | Manqabat | 2018

 

Ali Ali Haider…..
 
Abhi to bint e Asad thi tawaaf e kaaba mey
Ke patharo mey Qushi se ajab hilaali thi
Khuda ka shukr ke ek samt rukgayi Warna
Har eak samt se deewaar phatney waali thi
 
Nafs e nabi Sher e khuda zehra ka shauhar
Maula Mera aaqa Mera saaqi e kausar
 
Ali Ali Haider ……
 
1) aakey zameeno ko khud aflaako ney chooma
Bayt e khuda wajd mey Kuch aur hi jhooma
 
Bint e Asad aaye to kaabey mey banaa darr
 
Ali Ali Haider ……
 
2) bint e Asad kehney lagi maajra hai Kya
Aankh nahi kholta dekhey Mera bacha
 
Boley nabi Bhai ko haatho pey uthaakar
 
Ali Ali Haider ……
 
 
dunya ko dekhna bhi gawaara nahi kiya
Jab tak Ali ney dekha na chehra rasool ka
Sher e khuda ba banta to bantaa bhi aur Kya
Bachpan hi se Jo paala huwa tha rasool ka
 
Ye bhi Ali wali ki fazeelat hai ek badii
Jo hai Ali ka shajra wo shajra rasool ka
Rabb ki khasam ali to hai wo pehla naatkhwa’n
Jisney padhaa hai pehla khaseeda rasool ka
 
Ali Ali Haider ……
 
3) naam e Ali rabb ney bahaaro pey bhi likkha
Chaand pey sooraj pey sitaaro pey bhi likkha
 
Naam yehi likkha tha jibreel ke parr par
 
Ali Ali Haider ……
 
4) haa Teri khismat bhi sawar jaayegi pyaarey
Doobti kashtii bhi ubhar jaayegi pyaarey
 
Bola khuda nooh se tu wird yehii Kar
 
Ali Ali Haider ……
 
5) Jung ke maidaan mey chaalees Wa din tha
Naad e Ali padhkey nabi ney Jo pukaara
 
Aaye Ali jis ghadi khaibar ka udaa darr
 
Ali Ali Haider ……
 
6) yaad dilaata Hoon tumhey khum ka nazaara
Jis ghadi sarkaar ney man kuntu pukaara
 
Kehney lagaa wajd mey ashaab ka lashkar
 
Ali Ali Haider ……
 
7) shank ki ye goonj ye naubat ki sadaaye
Saarey zamaaney ko ye paigaam sunaaye
 
Naara lagaatey they ye Shahbaz khalandar
 
Ali Ali Haider ……
 
8) zille Raza ho ke Wo Farhan ali ho
Dono ka makhsad hai bayaa’n shaan e Ali ho
 
Sab sarr e mehfil kahey haatho’n ko uthaakar
 
Ali Ali Haider ……

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *