Farhan Ali Waris | Agar Hussain Tera Ghum | 2018 | 1440

 

Apne Ghamo ko Bhool Gaya Hon Mein Bakhuda
Seene se jab se Mene Lagaya Gham e Hussain a.s
Kis Munh se Shukriya krun Zehra s.a ka Mein Ada
Unke Saba Naseeb Me aya Gham e Hussain a.s ..
Tu Salamat Rahe
Tu Salamat Rahe
Humesha Gham e Hussain a.s ,
Kahan se Gham ko Uthane Ka Housla Ata
Agr Hussain a.s tera Gham Na Samne Hota ..x2
1) Khuda Nakhuwasta Ata Kabhi jo Yeh Mauqa ,
K Baap Dekhta Karyal Jawan Ka lasha ,,
To Lash Uthane Se Pehle Baap Mar jata ..
Agr Hussain a.s Tera Gham Na Samne Hota ..
2) Ajeeb Chahten Hoti Hain Baap Beti Ki,
Agr Hussain a.s ki Beti Na Housla Deti ,
To Beti Baap ki Mayat se kese Hoti Juda ..
Agr Hussain a.s Tera Gham Na Samne Hota ..

JO HOGAYE SHAHEED GHAM e SHEH KI RAAH MEIN,
UNKO LIYA HUSSAIN a.s NE APNI PANAH MEIN,
MAAYEN YE BOLEiN BETON K LASHON KO CHOOM KR
MILNA HUMEiN IMAM E ZAMAA’N atfs KI SIPAH MEIN ,

3) Tumhari Chah K Qarze Chukaye Hain Maula a.s ,
K Maa’n Ne Beton k Lashe Sajaye Hain Maula a.s ,
Qarar Kese Shaheedon Ki Maa’on Ko AtA ,
Agr Hussain a.s Tera Ka Gham Na Samne Hota ..
4) Agr Ye Marsiye Nauhon Me Na Suna Hota ,
K Lash e Ghazi a.s Pe KisTarah Tune Sabr Kiya ,
To Gham Mein Bhai K Bhai Ka Dam Nikal Jata ,,
Agr Hussain a.s Tera Ka Gham Na Samne Hota ..
5) Wo Maa’n Ka Pehlu Shikasta Bhi Tune Dekha Tha ,
Agr Nazar Me Na Hota Bicharna Maa’n SeTera ,
To Kese Maa’n K Janaze Ko Beta Dafnata ..
Agr Hussain a.s Tera Ka Gham Na Samne Hota .
Ya Hussain a.s
HAYe Farhan o Zil e Raza
Kesa Saabir Tha Maula Mera
Sabr har Gham Pe Krta Raha
Zikr ho Konse Sabr ka
Nana k Jane pe
Tera Sabr Maula
Maa’n k Janaze pe
Tera Sabr Maula
Baba k Zakhmo pe
Tera Sabr Maula
Bhai k Marne pe
Tera Sabr Maula
Akbar ke seene pe
Tera Sabr Maula
Qasim k Tukron pe
Tera Sabr Maula
Masoom Beti pe
Tera Sabr Maula
Haye Asghar ki Hichki pe
Tera Sabr Maula
Lash e Baradar pe
Tera Sabr Maula
Behno ki chadar Pe
Tera Sabr Maula
Jalte hue Dar pe
Tera Sabr Maula
Lut’tey hue Ghar pe
Tera Sabr Maula

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *