Farhan Ali Waris | Aey Hussaini Maa Tujhe Salam | Noha | 2016

 

Aye Hussaini maa tujhe salaam

Salaam ma…..x6
Tune bana diya mujhe Shabbir ka ghulaam
Aye Hussaini maa tujhe salaam…..x3

Tarbiyat mili wilayat e Ali pe tune ki
Aur majlis e aza me mujhko bhejti rahi
Maa tere karam se naematein azeem mil gayi….x2
Likha gaya sahifa e Zehra me mera naam
Aye Hussaini maa…..x3

Ake is jahan me pehli baar aankh jab khuli
Sabse pehle nauhe aur azan ki sada suni
Teri thapkiyon ne hi banaya mujhko matami…x2
Thi teri loriyan Hussainiat ka ehtemaam
Aye Hussaini maa……x3

Bolne ke waaste jo pehli baar lab hile
Ya Hussain ya Hussain lafz yeh ada kiye
Jane kab yeh lafz tune maa mujhe sikha diye ….x2
Ha Panjetan hain paanch aur bara hain Imam
Aye Hussaini maa….x3

Maa teri aqeedatom pe zindagi fida meri
Hosh jab sambhala maine ghar me dekha bas yahi
Ghar me tu saja rahi thi shehnashi Hussain ki….x2
Bachpan me hi sikha diya itna azeem kaam
Aye Hussaini maa….3

Ek chhota sa alam sajaya mere waaste
Mimbar e Hussain pe bithaya tune naa mujhe
Chand lafz majlis e Hussain ke sikha diye ….x2
Tehzeeb e gham ke waaste banaya yeh nizaam
Aye Hussaini maa….x3

Kaise bhul jau maa main teri woh rizayatein
Bachpane se tune daali saari achhi adatein
Tune hi sikhayi hain mujhe sabhi ibadatein ….x2
Tune sikhaya soz, nauha, marsiya salaam
Aye Hussaini maa….x3

Tere saye me pala toh yeh sharaf mujhe mila
Khoon banke dodti hain in ragon me Karbala
Kitni baar de chuka hoon main bhi pursa khoon ka…..x2
Jab tha libaas khoon me tar labon pe tha kalaam
Aye Hussaini maa…..x3

Haa yeh kaam maa ki fitraton ke bhi khilaaf tha
Tune ek roz mere paas aake yeh kaha
Raah me Hussainiat ki apni jaan kar fida …..x2
Allah yeh mohabbat e Hussain ka maqaam
Aye Hussaini maa……x3

Hain unhe dua e Sayyeda bhi aur Rasool bhi
Jinki god me pale yeh nauhakhwan yeh maatami
Un azeem maaon ki salaam Mazhar Aabedi
Farhan teri maa ko bhi khiraaj subh o shaam

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *