Ek Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai | Muhammad Owais Raza Qadri | 2017

 

 

Ek Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai,

Jo Rab E Do Aalam Ka Mahboob Yagana Hai.

 

Kal Pul Say Hamein Jis Nay Khud Par Lagana Hai,

Zahra Ka Woh Baba Hai Hasnain Ka Nana Hai.

 

Iss Hashmi Dulha Per Konain Ko Main Waroon,

Jo Husn O Shumail Mein Yakta E Zamana Hai.

 

Izzat Say Na Marjayein Kyun Naam E Muhammad Par,

Youn Bhi Kisi Din Hum Ne Duniya Say Toh Jana Hai.

 

Ek Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai,

Ek Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai,

 

 

Yoon Shah E Madina Ki Mein Pusht Panahi Mein,

Kiya Iski Mujhe Parwah Dushman Jo Zamana Hai.

 

Soh Bar Agar Tauba Tuti Bhi To Kiya Hairat,

Bakhshih Ki Riwayat Mein Toba To Bahana Hai.

 

Ek Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai,

Ek Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai,

 

 

Pur Noor Si Rahein Hain, Gunbad Pay Nigahein Hai,

Jalwey Bhi Anokhay Hain, Manzar Bhi Suhana Hai.

 

Yeh Keh Kay Dar E Haq Say Li Maut Mein Kuch Mohlat,

Milad Ki Aamad Hai Mehfil Ko Sajana Hai.

 

Ek Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai,

Ek Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai,

 

 

Aao Dar E Zahra Par Phalaye Hue Daman,

Yeh Nasal Kareemon Ki Lajpal Gharana Hai.

 

Qurban Us Aaqa Per Kal Hashr Ke Din Jisnay,

Iss Ummat E Aasi Ko Kamli Mein Chupana Hai.

 

Ek Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai,

Ek Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai,

 

 

Har Waqt Woh Hain Meri Duniya E Tasawar Mein,

Aie Shoq Kahin Ab To Aana Hai Na Jana Hai.

 

Hum Kyun Na Kahein Unsay Rodad E Alam Apni,

Jab Unka Kaha Khud Bhi Allah Nay Mana Hai.

 

Ek Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai,

Ek Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai,

 

 

Mehroom E Karam Is Ko Rakhiye Na Sar E Mehshar,

Jaisa Hai Naseer Aakhir, Sahil Toh Purana Hai.

 

Ek Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai,

Ek Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai,

 

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *