Dua Karna Ali Akber as | Shahid Baltistani | Album: Azaan e Darvaish | 2015-16 HD

dua karna ali akbar
safar may maa guzar jaye kabhi bazaar na aaye
mohamed ki nawasi par koi pathar na barsaye
dua karna ali akbar

teri phupiyon ke badle may mujhe sab maar le pathar
ruqayya zainab o kulsoom ki banjao mai chadar
ali ki betiyon ko maa bacha kar sham se laaye
dua karna ali akbar
safar may maa guzar…

tamache maar kar zaalim badi nafrat se hasta hai
tumhare baap ka badla sakina se wo leta hai
behan baba ke qaatil se tamache aur na khaaye
dua karna ali akbar
safar may maa guzar…

dua karta hai marne ki lahoo aankhon se jaari hai
wo hi akbar hai ab mera wohi ab mera ghazi hai
tere bemaar bhai ko meri bhi umr lag jaye
dua karna ali akbar
safar may maa guzar…

kaleje par ali akbar lagegi phir tere barchi
wahan jaana hai be-parda jahan shaahi thi zainab ki
khule sar binte zehra ko koi pehchan na paaye
dua karna ali akbar
safar may maa guzar…

tere seene se jo nikla mere dil may hai wo naiza
meri saansein to chalti hai magar mai ab nahi zinda
zaeefa maa ko bete ki khuda mayyat na dikhlaye
dua karna ali akbar
safar may maa guzar…

agar mastoor mar jaye andhera hone dete hai
tere ghar ki riwayat hai janaze shab may uth’te hai
haram jab be-rida guzre andhera saamne chaye
dua karna ali akbar
safar may maa guzar…

shaheedon ki dua’on ko khuda bhi rad nahi karta
takallum maa ye kehti thi bulale paas ay beta
maahe shaban ka mujhko nazar ab chand na aaye
dua karna ali akbar
safar may maa guzar…

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *