DAR E NABI ﷺ PAR | Hafiz Tahir Qadri | Ramzan | New Naat lyrics | 2020

Dar-e-nabi per ye umr beete, Ho hum pe lutf-e-dawaam aisa
Meri jaan Madina, Dil Chain Madin
Aankhon ka tara Madina, Sabka sahaara Madina
Sarkaar ka Madina

Dar-e-nabi per ye umr beete, Ho hum pe lutf-e-dawaam aisa
Madine wale kahen maqami, Ho un ke dar per qayam aisa

Namaz aqsa me jb padhai, To ambiya aur rusul ye bole

Namaz ho to namaz aisi, Imam ho to imam aisa

Dar-e-nabi per ye umr beete, Ho hum pe lutf-e-dawaam aisa
Madine wale kahen maqami, Ho un ke dar per qayam aisa

Taiba me ho mera ghr
Taiba me ho mera ghr, Aisa karam ho sarwar
Ummat ko jab bhi dekhun, padh lun salaam tumpar

Bilal tujh per nisaar jaaun, Ke khud Nabi ne tujhe kharida

Naseeb ho to naseeb aisa, Ghulam ho to Bilal jaisa

Dar-e-nabi per ye umr beete, Ho hum pe lutf-e-dawaam aisa
Madine wale kahen maqami, Ho un ke dar per qayam aisa

Labon pe naam-e-nabi jab aaya to gurez-paa haadson ko paya

Jo taal deta hai mushkilon ko, Mere Nabi ka hai naam aisa

Meri bigdi bnane ko Nabi ka naam kafi hai
Hazaaron gum mitane ko Nabi ka naam kafi hai
Ghamon ki dhoop ho ya phir
Hawaye teez chalti hon Mere is aashiyane ko Nabi ka Naam kafi hai
Jo taal deta hai mushkilon ko, Mere Nabi ka hai naam aisa

Mujh hi ko dekho hun wo be-talab hi, Nawazte ja rhe hai paihum

Na koi mera amal hai aisa, Na koi mera hai kaam aisa

Na koi amal hai sunane ke qabil
Na muh hai tumhare dikhane ke qabil
Dil lgate hai isko bhi Seene se aaqa
Jo hota nhi muh lgane ke qabil

Na koi mera amal hai aisa, Na koi mera hai kaam aisa
Dar-e-nabi per ye umr beete, Ho hum pe lutf-e-dawaam aisa
Madine wale kahen maqami, Ho un ke dar per qayam aisa

Main khalid apne nabi pe qurban, Hai jinka khulq-e-azeem quran

Hai roshni jis ki do jahan me, Kahin hai mah-e-tamam aisa

Dar-e-nabi per ye umr beete, Ho hum pe lutf-e-dawaam aisa
Madine wale kahen maqami, Ho un ke dar per qayam aisa.

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *