Dar e Nabiﷺ par para rahun ga | Hafiz Ahmed Raza Qadri | 2017

 

Dare nabi par para rahoon ga pare hi rehne se kaam hoga

Kabhi to qismat khule gi meri kabhi to mera salam hoga

Khilafe mashooq kuch huwa hai na koi aashiq se kaam hoga

Khuda bhi hoga udhar bhi aye dil jidhar woh aali maqam hoga

Kiye hi jaoon ga arz matlab milega jab tak na dil ka matlab

Na shaam e matlab ki subha hogi na yeh fasana tamam hoga

Jo dil se hai ma’il-e-payambar yeh is ki pehchan hai

muqarrar

Ke har dam is be nawa ke lab par durood hoga salam hoga

Isi tawaqqa pe ji raha hoon yehi tamanna jila rahi hai

Nigahe lutfo karam na hogi to mujh ko jeena haram hoga

 

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *