Sakina Ki Sada Goonji Ammay Janam Ammay Jan Mainy Rukhsaron Py Zalim Sy Tamanchay Khaye Ap Ko Meri Qasam Hai Yeh Batayen Mujh Ko Ammay Baba Yam Kujaast Dukhtar E Shah E Shaheedan Ny Tarhap Kar Yeh Kaha Shiddat E Gham Sy Na Mar Jaun Sar E Dasht E Bala Woh Jo Soi Na Kabhi Baba Ky Seeny Ky Siwa Haye Baba Ny Barhy Nazon Sy Pala Hai Mujhy Mujh Sy Kiun Rooth Gaye Baba Thi Kya Meri Khata Aai Jab Giarah Muharram Ki Sahar Waa Ghurbata Aably Paon Mein Thy Aur Galy Mein Thi Rasan Haye Sajjad Ny Ay Akhtar O Irfan E Aza Ammay Baba Yam Kujaast
Aag Daman Mein Lagi Chin Gaye Durr Bhi Haye
Aisy Hota Hai Yateemon Sy Sulook Haye
Chin Gai Sar Sy Rida Khaimon Mein Kuch Bhi Na Raha
Wawaila Zainab Zainab Wawaila Wawaila
Aisy Aalam Mein Apny Baba Ko Dhundun Main Kahan
Ammay Baba Yam Kujaast
Har Taraf Lashy Hi Lashy Hain Kahan Jaun Bhala
Wawaila Zainab Zainab Wawaila
Mery Baba Hain Jahan Mujh Ko Bhi Ly Jao Wahan
Ammay Baba Yam Kujaast
Us Ko Ek Khak Ky Bistar Py Bhi Sony Na Diya
Wawaila Zainab Zainab Wawaila
Tazionon Sy Jagaty Hain Sitamgaar Yahan
Ammay Baba Yam Kujaast
Aur Yahan Shimr Ny Durron Sy Bhi Mara Hai Mujhy
Wawaila Zainab Zainab Wawaila
Apny Baba Ko Dikhaun Gi Yeh Zakhmon Ky Nishan
Ammay Baba Yam Kujaast
Kaash Ho Jati Main Asghar Ki Tarha Un Py Fida
Wawaila Zainab Zainab Wawaila
Ro Diye Ahl E Haram Sun Ky Yeh Bachi Ka Bayaan
Ammay Baba Yam Kujaast
Qafila Aal E Muhammad Ka Sooye Shaam Chala
Wawaila Zainab Zainab Wawaila
Aik Shehzadi Thi Ro Ro Ky Jo Karti Thi Fughan
Ammay Baba Yam Kujaast
Kitni Lachar Thi Pardais Mein Akbar Ki Bahan
Wawaila Zainab Zainab Wawaila
Qaid Khany Mein Bhi Rehti Thi Yun Hi Noha Kunaan
Ammay Baba Yam Kujaast
Apni Hamsheer Ko Dafnaty Huye Di Yeh Sada
Wawaila Zainab Zainab Wawaila
Khoon Kaanon Sy Sakina Ky Abhi Tak Hai Rawaan
Ammay Baba Yam Kujaast
