Allah Jane Yeh Duniya Kesi Hai | Irfan Haider

 

Haaye
jab sakina ko sare hazrat e shabbir mila
muh pe muh rakh ke sakina ne kiya tha nauha
baba, ye zalim duniya..
baba, ye zalim duniya..
kabhi neher pe pehra lagati hai
kabhi pyaaso ko tadpati hai
mehmaan ko khoon rulati hai
sadaat ko qaidi banati hai
haye..
sadaat ki ghurbat pe, bhi khamosh hai duniya
arey, sach hai badi ehsaan faramosh hai duniya
 
beti ko saath baap ke rehne nahi deti hai
allah jane ye duniya kaisi hai
 
beti ko saath baap ke rehne nahi deti hai
allah jane ye duniya kaisi hai
baba.. allah jane ye duniya kaisi hai
 
1. Baba yaha’n rone pe tamacho’n ki saza hai
ashko pe bhi, faryaad pe bhi, pehra laga hai
bin baap ki bacchi ko tadapne nahi deti hai
allah jane ye duniya kaisi hai
 
2. Baba mere kaano se rawa’n khoo’n hai abhi tak
taqdeer meri mujhse khafa kyu hai abhi tak
ghar loot ke bhi chayn se jeene nahi deti hai
allah jane ye duniya kaisi hai
 
3. Baba jo guzarti hai tumhe kaise batau
sab log alag qaid hai, mai qaid alag hu
ek lamha bhi gharwalo se milne nahi deti hai
allah jane ye duniya kaisi hai
 
5. Baba ye andhera hi mujhe qatl karega
lagta hai ye zindaan meri qabr banega
zindaan se ghar kyu mujhe jaane nahi deti hai
allah jane ye duniya kaisi hai
 
6. Baba phuphi amma ki judayi pe hu muztar
sajjad mere saath hai na, saath hai baqer
aankho’n se mere ashk bhi behne nahi deti hai
allah jane ye duniya kaisi hai
 
7. Baba mere har dard ka irfan hai tumko
aye mazhar e yazda’n ke pisar mujhko bachalo
jeena to kuja, chayn se marne nahi deti hai
allah jane ye duniya kaisi hai
 
 
beti ko saath baap ke rehne nahi deti hai
allah jane ye duniya kaisi hai
baba.. allah jane ye duniya kaisi hai

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *