Ali Shanawar | Kufey Ka Aur Sham | 2015

 

kufe ka aur shaam ka manzar
yaad jab aajata hai baba
dil mera phat jaata hai baba
kufe ka aur shaam ka manzar
 
qabr pe shabbir ki karte thay abid buka
hogayi kya kya jafa, suniye shahe karbala
sar pe kisi ke na thi chadar
yaad jab aajata hai baba
dil mera phat jaata hai baba
kufe ka…..
 
ek rasan may baandhe chote bado ke galay
barsare darbar sab is tarha laaye gaye
kotho se barsaat the pathar
yaad jab aajata hai baba
dil mera phat jaata hai baba
kufe ka…..
 
kufe ke baazar may majma-e kuffaar may
ek tamasha sa tha, aale sitam gaar may
aise may maa behne khule sar
yaad jab aajata hai baba
dil mera phat jaata hai baba
kufe ka…..
 
tauq se hargis na tha baba mera sar jhuka
hathkadi aur bedi ka koi mujhe gham na tha
arey dekha nahi jata tha manzar
yaad jab aajata hai baba
dil mera phat jaata hai baba
kufe ka…..
 
arey bali sakina ka gham dil ye nahi bhool tha
sab ke the shaane bandhe uska bandha tha gala
arey dard se wo roti thi mustar
yaad jab aajata hai baba
dil mera phat jaata hai baba
kufe ka…..
 
meri phuphi jaan thi balwe may jo sar khulay
naize se ammu mere farsh pe gir padte thay
haaye chacha jaan ka safar
yaad jab aajata hai baba,
dil mera phat jaata hai baba
kufe ka…..
 
leke gaye jab hamay bazm-e-sitamgaar may
saat-sau kursi nasheen baithe thay darbaar may
thakht pe baitha tha sitamgar
yaad jab aajata hai baba
dil mera phat jaata hai baba
kufe ka…..
 
jab kiya sajjad se aake kisis ne sawaal
guzra kahan par imam aap ko zyaada malaal
arey kehte thay as-shaam muqarrar
yaad jab aajata hai baba
dil mera phat jaata hai baba
kufe ka…..
 
maqtalo tareekh bhi kar na sake hakh adaa
likhay aneesay hazeen girya-e abid ko kiya
aey kahte thay ye abid-e muztar
yaad jab aajata hai baba,
dil mera phat jaata hai baba
kufe ka…..

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *