Munn Aashiq e Hussainum as
Munn Zayree Hussainum as
har tashnagi mary laho ki kahti hai mujh say bahan
mari zaban hai noha dil hai mera muharum
tera tamaam girya uska mujasam
mary har ek nafas me karta ha shoor matam
Hussain as Hussain as
Munn Aashiq e Hussainum as
Munn Zayree Hussainum as
main ishq karbala hon ye dil hai karbalai
mola han mary mola un ka hon main fidai
matam ki goonj sary arzo sama pay chai
mary laho ne har jaah shama wafa jalai
Hussain as Hussain as
Munn Aashiq e Hussainum as
Munn Zayree Hussainum as
piyaso ke jitny gham han ye saray gham han mary
sahra ho ya ke maqtal bakhshy qadam han mary
ye sb jaloos e matam aho hasham han mary
ye qafla hai mera ye samyeen han mary
Hussain as Hussain as
Munn Aashiq e Hussainum as
Munn Zayree Hussainum as
har ek nafas ko main ne zaeer bana dya ha
zaaraat karbaala ke sar ko jhuka dya ha
maqtal ke rasto per dil ko bisha dya ha
un ki hi zameen per khaymaa laga dya ha
Hussain as Hussain as
Munn Aashiq e Hussainum as
Munn Zayree Hussainum as
mahye aza ko cahye koi bhe ho mahina
rahta hai karbala ka seene me ek khazeena
mary nafas nafas me ashiqo ka ha safina
matam ke sath marna matam ke sath jeena
Hussain as Hussain as
Munn Aashiq e Hussainum as
Munn Zayree Hussainum as
Tu Al hussain o mini wali hadees kia ha
yani hussainyat hi tableeq mustafa SAW ha
islam ki baqa ka is per hi faisla ha
khoon e hussain mari tareekh likh raha ha
Hussain as Hussain as
Munn Aashiq e Hussainum as
Munn Zayree Hussainum as
ye dil hilal mujh ko gar an ban daita
main bhe baname aktar kch imtihan daita
un ki raza jo hoti maqtal me jan daita
katra mera khoon ka har wafa dy ga
Hussain as Hussain as
Munn Aashiq e Hussainum as
Munn Zayree Hussainum as
Comment