Shaam E Ghariba’n
Aye Shaam E Ghariba’n
Jab Shaam E Ghariba’n Me Yaad E Padar Aayi
Aur Ghabrake SAKINA Sare Maqtal Chali Aayi
Daaman Tha Jala Aur Labo’n Par Tha Yeh Nauha
Aye Baba HUSSAINA
Ayna Ayna Aye Baba HUSSAINA
Roti Hain SAKINA, Pyaasi Hain SAKINA
Ayna Ayna Aye Baba HUSSAINA
Hain Aap Jaha Baba, Mujhko Bula Lijiye
Ek Baar Mujhe, Apne Seene Pe Sula Lijiye
Bin Aap Ke Duniya Me Bekaar Hai Yeh Jeena
Ayna Ayna Aye Baba HUSSAINA
Roti Hain SAKINA, Pyaasi Hain SAKINA
Ayna Ayna Aye Baba HUSSAINA
Hain Kaan Mere Zakhmi, Aur Khoon Bhi Hain Jaari
Khaymo’n Ki, Ridaaon Ki, Karti Hu Azadari
Kuch Der Sukoon Pau, Mil Jao Agar Baba
Ayna Ayna Aye Baba HUSSAINA
Roti Hain SAKINA, Pyaasi Hain SAKINA
Ayna Ayna Aye Baba HUSSAINA
Kis Samt Tumhe Dhundhu, Maqtal Me Bhatakti Hu
Baba Ki Samajhkar Mai, Har Laash Pe Girti Hu
Imdaad Karo Meri, Batlao Mujhe Rasta
Ayna Ayna Aye Baba HUSSAINA
Roti Hain SAKINA, Pyaasi Hain SAKINA
Ayna Ayna Aye Baba HUSSAINA
Kuch Der Lipatkar Main, Bas Aapke Laashe Se
Woh Dard Sunaugi, Baad Aapke Jo Paye
Har Baat Batau Main, Mil Jaye Agar Lasha
Ayna Ayna Aye Baba HUSSAINA
Roti Hain SAKINA, Pyaasi Hain SAKINA
Ayna Ayna Aye Baba HUSSAINA
Is Dasht Me Roti Hu, Sab Chahne Walo’n Ko
Har Samt Andhera Hai, Tarsi Hu Ujalo’n Ko
Baad Apke Aye Baba, Taareek Hai Yeh Duniya
Ayna Ayna Aye Baba HUSSAINA
Roti Hain SAKINA, Pyaasi Hain SAKINA (S.A)
Ayna Ayna Aye Baba HUSSAINA
SHABBIR Ke Nauhe Se, Phir Gunj Utha Sehra
Ho Tere Masaeb Par, Qurban Tera Baba
Ek Teer Laga Dil Par, Sunkar Yeh Tera Girya
Ayna Ayna Aye Baba HUSSAINA
Roti Hain SAKINA, Pyaasi Hain SAKINA
Ayna Ayna Aye Baba HUSSAINA
Irfan Bhi Rota Hain, Is Baat Pe Mazhar Bhi
Roti Thi SAKINA Bhi, Aur Lashaye Sarwar Bhi
Awaaz E Padar Sunkar, Us Samt Chali Dukhiya
Ayna Ayna Aye Baba HUSSAINA
Roti Hain SAKINA, Pyaasi Hain SAKINA
Ayna Ayna Aye Baba HUSSAINA
Aye Baba HUSSAINA..
Comment