MAIN KESE CHALO BABA as | SYED RAZA ABBAS ZAIDI

 

Ya HUSAIN (ASWS)…..4
Mera Kad Chota Phupiyan Hai Badi…..2
Gardan Mein Rasan Sub Ke Hai Bandhi…..2
 
Main Paaon Zameen Par Kaise Rakhu
Mai Kaise Chalu Mai Kaise Chalu……2
 
Mai Kaise Chalu Mai Kaise Chalu……2
 
Mai Kaise Chalu Baba…… Kaise Chalu Baba
Gardan Mein Hai Resma, Dukh Raha Hai Gala…..
 
Kaise Chalu Baba…..gardan Mein Hai Resma
Mai Kaise Chalu Mai Kaise Chalu Baba…… Kaise Chalu Baba…..gardan Mein Hai Resma
 
Mere Pair Zameen Par Tikte Nahi, Aur zalim (LA) Hai Ke Rukte Nahi
Jub Dard Se Main Chillati Hun, Aada Ke Tamache Khati Hun…..
Gam Ranjo Masaib Alam, Sehti Hun Hardam Sitam, Rukti Nahi Hai Jafa
 
Dukh Raha Hai Gala, Kaise Chalu Baba, Gardan Mein Hai Resma
Mai Kaise Chalu Baba…… Kaise Chalu Baba…..gardan Mein Hai Resma
 
Dada Meri Mushkil Kar De Kusha, Ho Jaaie Meri Hajat Yeh Rawa
Na Saya Hai Na Pani Hai, Dadi Ki Kahani Maani Hai
Aai Mushkil Kusha E Jahan, Mushkil Me Hai Meri Jaan, Mar Jaungi Bakhuda
 
Dukh Raha Hai Gala, Kaise Chalu Baba, Gardan Mein Hai Resma
Mai Kaise Chalu Baba…… Kaise Chalu Baba…..gardan Mein Hai Resma
 
Bhai Hai Mera Beemar E Hazin, Godi Mein Mujhe Le Sakta Nahi
Zanjeer E Sitam Hai Pairon Mein, Aur Khar Biche Hai Rahon Mein.
Woh Rota Hai Mere Liye, Rou Mai Uske Liye, Jari Hai Yeh Silsila
 
Dukh Raha Hai Gala, Kaise Chalu Baba, Gardan Mein Hai Resma
Mai Kaise Chalu Baba…… Kaise Chalu Baba…..gardan Mein Hai Resma
 
Chalti Thi Kabhi Main Phoolon Mein, Mai Soti Ti Nahi Thi Jhoolon Mein
Bistar Tha Mera Tera Sena, Kya Yaad Nahi Tum Ko Baaba
Mai So Jaati Is Khaak Par, Itni Thakan  Hai Magar, Aaiengi Ab Neend Kya
 
Dukh Raha Hai Gala, Kaise Chalu Baba, Gardan Mein Hai Resma
Mai Kaise Chalu Baba…… Kaise Chalu Baba…..gardan Mein Hai Resma
 
Mai Pairon Chal Kar Jaati Thi, Ammu Ke Gale Lag Jaati Thi
Godi Mein Chacha Behlate The, Aur Zer E Alam Le Jaate The
Woh Hota Agar Bawafa, Hoti Qaiyamat Bapa, Keh Deti Gar Mai Chacha
 
Dukh Raha Hai Gala, Kaise Chalu Baba, Gardan Mein Hai Resma
Mai Kaise Chalu Baba…… Kaise Chalu Baba…..gardan Mein Hai Resma
 
Rehan O Raza Woh Shehzadi (sa), Ek Lamhe Ko Khamoosh Hui
Na Jaane Khayal Aaya Kaisa, Woh Kehne Lagi Rokar Dukhiya
Haye Khanjar Se Kata Gya, Baba Tumhara Gala, Kaise Kahun Main Bhala
 
Dukh Raha Hai Gala, Kaise Chalu Baba, Gardan Mein Hai Resma
Mai Kaise Chalu Baba…… Kaise Chalu Baba…..gardan Mein Hai Resma

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *