Baba Teri judaai Seh na paaegi Sakina Bohot roeygi Sakina
Chillaeygi Sakina Ghabraaeygi Sakina
1) Gherey huay hain humko kyun zalimo ke
lashkar Ammu bhi haye ran sey aaye nahin
palat kar Kya aap se bhi baba (x2)
Chut jaeye gi Sakina
2) Hum bekason ke upar hai
zalimo ka pehra Purhaul horaha hai
karbobala ka sehra Baad aap kay faqat ab (x2)
Ghum khaaey gi Sakina
3) Aye baba aapka to seena lahu
lahu hai Seenay pay aur soloon yeh meri
aarzu hai Aaraam sey kahan phir (x2)
So paaeygi Sakina
4) Bey rehem zalimon sey darr mujhko
lag raha hai Shiddat se tishnagi ki dill
bhi sulag raha hai Ab kissay koi shikwa (x2)
Karpaeygi Sakina
5) Hum kaisay bewatan hain ghurbat na
raas aai Bardasht hogi kaisay baba
teri judaai Be chaiyn dil ko kaisay (x2)
Behlaaegi Sakina
6) Dhaaeinge zulm aada is baat ka yaaqeen hai
Ammu madad ko aaeyn yeh aasra nahin hai
Ammu ko bhi yaqeenan (x2)
Yaad aaeygi Sakina
7) Asghar ke ghum mein amman be haal
ho rahi hain Barpa hai ik mehshar
phupiyaan bhi ro rahi hain Is haal mein na kyun kar (x2)
Ghabraey gi Sakina
8) Uljhan bohat hai dill mein kyun
wehm aaraha hai Jaisay koi sitamgar mujhko
sataa raha hai Darde jigar kisay ab (x2)
Batlaey gi Sakina
9) Bolay Hussain ro kar aaja meri Sakina
Aakar galay sey lag ja phat ta hai
ghum se seena Baba ko yaad teri (x2)
Tarpaey gi Sakina
10) Baba ko Karbala ka maidaan bula
raha hai Beti ko shamiyo ka zindaan
bula raha hai Bus zulm jhelne ko (x2)
Rehjaaey gi Sakina
11) Aye dukhtarane Hashim bolay yeh shahe
vala Kheime mein jaao bibi tujh ko khuda ko
saunpa Noha Nigaar phir bhi (x2) Dohraey gi sakina
Comment