Haye
Ay Rony Walo Hai Yeh Gharhi Shor E Shain Ki
Tadfeen Ho Rahi Hai Imam E Hussain Ki
Koofy Sy Aye Pehny Jo Sajjad Bairhian
Lashe Hussain Dekh Ky Aansoo Huye Rawaan
Hathon Ko Jorh Kar Kiya Beemar Ny Bayaan
Baba Tumhari Lash Ko Dhundun Kahan Kahan
Kaisy Kafan Dun Laash Ko Ghurbat Naseeb Hun
Baba Main Aaj Tum Sy Zyada Ghareeb Hun
Ro Kar Bani Asad Ky Qabeely Ko Di Sada
Lashe Hussain Mil Ky Ikatha Karo Zara
Utry Lahad Mein Shah Ki Beemar E Karbala
Boly Parhun Main Kis Tarah Talqeen Ya Khuda
Rukh Kaisy Sooye Kaaba Ho Zehra Ky Chain Ka
Sar Hi Nahi Raha Mery Baba Hussain Ka
Jitny Bhi Tukry Mil Saky Sab Chun Liye Gaye
Ahista Sy Lahad Mein Woh Beemar Ny Rakhy
Seeny Py Hath Rakha Jo Bety Ny Baap Ky
Halat Py Baba Jaan Ki Sajjad Ro Parhy
Boly Keh Yad Ati Hai Is Waqt Dadi Jaan
Torhi Hain Is Tarha Mery Baba Ki Paslian
Looti Hai Aisy Laash Ghareeb Ud Dayaar Ki
Ghorhon Sy Pehly Laash Ki Pamali Ki Gai
Phir Kurta Aur Amama Abaa Ly Gya Koi
Yehi Nahi Keh Sirf Angoothi Nahi Mili
Bey Ehtrami Ki Hai Yun Zehra Ky Chain Ki
Ungli Laeen Ny Kaati Hai Baba Hussain Ki
Teeron Sy Sara Jism Hai Haye Bhara Hua
Pehloo Py Baba Jaan Ky Hai Naiza Garha Hua
Terah Jaghon Sy In Ka Gala Hai Kata Hua
Hai Tan Yahan Py Sar Wahan Khoon Sy Bhara Hua
Sar Dekh Kar Yaqeen Hai Mery Khandaan Ko
Mara Hai Patharon Sy Mery Baba Jaan Ko
Barh Kar Bani Asad Ny Yeh Ek Baat Pooch Li
Mola Muaaf Kijiye Gar Ho Khata Koi
Choti Si Kya Yeh Seeny Py Shay Hai Rakhi Koi
Abid Ki Baat Sun Ky Har Ek Maan Tarhap Gai
Boly Yeh Dekh Dekh Ky Dil Pash Pash Hai
Seeny Py Baba Jaan Ky Asghar Ki Laash Hai
Poocha Kisi Ny Mola Barabar Mein Kon Hai
Shabbir Is Ky Seeny Py Kiun Hath Hain Rakhy
Lagta Hai In Ko Pyar Tha Is Nojawan Sy
Akbar Ka Naam Lety Hi Sajjad Ro Parhy
Boly Keh Hath Seeny Py Yun Hai Rakha Hua
Hai Bety Ky Kalaijy Mein Naiza Laga Hua
Aai Sada Yeh Fatima Zehra Ki Qabr Sy
Sajjad Laot Aao Keh Baba Ko Ro Chuky
Koofy Mein Yad Karti Hai Beti Meri Tujhy
Tum To Yahan Ho Woh Bhala Awaz Kis Ko Dy
Zainab Ky Dill Ko Aur Bhi Zaalim Rulata Hai
Shimr E Laeen Behan Ko Tamanchay Lagata Hai
Sajjad Karbala Ky Woh Manzar Ajeeb Thy
Farhan Aa Rahi Thi Yeh Awaz Qabr Sy
Milwa Do Beta Phir Zara Abbas Sy Mujhy
Bolo Keh Akhri Yeh Meri Baat Maan Ly
Abid Pukary Ay Dill E Ehsan Aaiye
Matti Lahad Py Dalny Abbas Aaiye
Matti Lahad Py Dalny Abbas Aaiye
tyse