Haye sakina, haye pyaas..
Gila bhi karti nahi apni tashnakami ka
Sakina bhool gayi zaeqa bhi pani ka..
Wo pehli shaam judayi ki aur wo tanhayi
Wo ghup andhera wo maqtal wo yaad baba ki..
Mayaan e dard o alam hai safar yateema ka
Sakina bhool gayi zaeqa bhi pani ka
Hai dastane sitam wo jala hua kurta
Nisha’n tamacho ke rukhsaar par daleel e jafa..
Gawahi zulm ki deta hai zakhm seyli ka
Sakina bhool gayi zaeqa bhi pani ka
Talaash seena e sarwar hai aur sakina hai
Ajeeb hooka sa manzar hai aur sakina hai..
Na puch haal aye ghazi teri bhatiji ka
Sakina bhool gayi zaeqa bhi pani ka
Phuphi ko takti hai hasrat se ye sukhan keh kar
Figaar kaano se behta hai khoon reh reh kar.
Gulu ko karta hai zakhmi hisaar rassi ka
Sakina bhool gayi zaeqa bhi pani ka
Wo wehshatein wo udasi wo khauf aur wo ghazab
Jo qaid e shaam mein guzri wo sakhtiya’n hai ajab..
Ye dil ke waaste samaa’n hai ghum gusari ka
Sakina bhool gayi zaeqa bhi pani ka
Padar ke baad kabhi chayn ki na neend aayi
Ajab sitam hai padar par na khul ke ro payi..
Wo ghum bhula na saki baap ki judayi ka
Sakina bhool gayi zaeqa bhi pani ka
Sitam ki saari hado se guzar gayi akhir
Padar ki yaad mein asif wo marr gayi akhir
Chalo ye waqt hai zainab se pursa daari ka
Sakina bhool gayi zaeqa bhi pani ka
Comment