soz e dil chaahiye, chashm e nam chaahiye, aur shauq e talab mu’tabar chaahiye
ho mayassar madeene kee galiyaaN agar, aaNkh kaafee naheeN hai, nazar chaahiye
un kee meHfil ke aadaab kuchh aur haiN, lab kushaa`ee kee jur`at munaasib naheeN
un kee sarkaar meiN iltijaa ke liye juNbish e lab naheeN chashm e tar chaahiye
apnee roodaad e GHam maiN sunaa`uN kise? mere dukh ko ko`ee aur samjhe gaa kyaa?
jis kee KHaak e qadam bhee hai KHaak e shifaa, mere zaKHmoN ko woh chaarah_gar chaahiye
maiN gadaa e dar e shaah e kaunain huN, sheesh_meHloN kee mujh ko tamannaa naheeN
ho mayassar zameeN par keh zer e zameeN, mujh ko taibah meiN ek apnaa ghar chaahiye
in na`e raastoN kee na`ee raushnee ham ko raas aa`ee hai aur nah raas aa`e gee
ham ko kho`ee hu`ee raushnee chaahiye, ham ko aa`een e KHair_ul_bashar chaahiye
midHat e shaah e kaun o makaaN ke liye sirf lafz o bayaaN kaa sahaaraa nah lo
fann e she’ree hai :Iqbal: apnee jagah, na’t kehne ko KHoon e jigar chaahiye
Comment