Chahat Ka Meri Kaisa Mujh Ko Sila Diya
Acha Kiya Baba Jo Mujh Ko Bhula Diya
Baba
Acha Kiya Baba
Acha Kiya Baba Jo Mujh Ko Bhula Diya
Zinda Raho Hazaron Baras Shadman Raho
Baba Zameen Py Ban K Sada Aasman Raho
Quran Tum Py Saya Kary Tum Jahan Raho
Parhti Hun Har Namaz Mein Baba Yehi Dua
Baba
Acha Kiya Baba
Acha Kiya Baba Jo Mujh Ko Bhula Diya
Baba Tumhary Bad Main Khushiyon Sy Door Hun
Lekin Tumhari Raah Main Takti Zaroor Hun
Beemar O Natawan Hun Ghamon Sy Main Choor Hun
Ab Ky To Din Bhi Eid Ka Ro Kar Guzar Gaya
Baba
Acha Kiya Baba
Acha Kiya Baba Jo Mujh Ko Bhula Diya
Raton Ko Jag Jag Ky Karti Hun Yeh Dua
Kunby Ko Raas Aye Mere Dasht E Karbala
Dariya K Pas Khaima Ho Sheh Ka Laga Hua
Garmi Ky Din Hain Amman Ky Sar Par Rahy Rida
Baba
Acha Kiya Baba
Acha Kiya Baba Jo Mujh Ko Bhula Diya
Asghar Ko Bhej Do Ali Akbar Ko Bhej Do
Kuch Roz Ko Sahi Meri Madar Ko Bhej Do
Koi Nahi To Bas Meri Khawahar Ko Bhej Do
Honton Py Ab To Sughra Ka Dam Hai Ruka Hua
Baba
Acha Kiya Baba
Acha Kiya Baba Jo Mujh Ko Bhula Diya
Karta Hai Kon Yun Bhi Mareezon Sy Itna Pyar
Main Gull Khizan Raseeda Hun Tum Ho Meri Bahar
Wesy Bhi Ab Naseeb Mein Mery Hai Intezaar
Bhujta Hun Charagh Hun Apny Mazaar Ka
Baba
Acha Kiya Baba
Acha Kiya Baba Jo Mujh Ko Bhula Diya
Han Yeh Kalak Hai Amman Ny Mujh Ko Kiya Na Yaad
Akbar To Leny Ayen Gy Kitna Tha Aitemaad
Allah Ab To Poori Kry Ga Meri Murad
Aye Ga Jab Madiney Mein Karbal Ka Qafila
Baba
Acha Kiya Baba
Acha Kiya Baba Jo Mujh Ko Bhula Diya
Lagta Hai Meri Qabr Py Aao Gy Ay Padar
Woh Bhi Agar Pahunchi Gai Taqdeer Sy Khabar
Talqeen Parh Na Pao Gy Bazo Ko Tham Kar
Tanhaian Uthayen Gi Taboot Bhi Mera
Baba
Acha Kiya Baba
Acha Kiya Baba Jo Mujh Ko Bhula Diya
Ay Sarwar O Rehan Koi Ja Ky Yeh Kahy
Sughra Woh Saniha Kahan Maloom Hai Tujhy
Baba Shaheed Ho Gaye Bhai Nahi Rahy
Ro Ro Ky Roz Kis Ko Tu Deti Hai Ab Sada
Baba
Acha Kiya Baba
Acha Kiya Baba Jo Mujh Ko Bhula Diya
Comment